Apni Internet Ki puri History Ko Google Se Kaise hataye?

Apni  Internet Ki puri History Ko Google Se Kaise hataye?
 
Aap ye jaankar bahut hairan honge ki aapki har ek activity par google najar rakhta hai ,aap kis time kya use kar rahe ho kaun si website khole huye ho ,kya padh rahe ho internet par ,sab kuchh google janta hai aapke baare ,ab aap soch rahe honge kaise ,to main batata hoon ,agar aap dhyan se soche to aap samjh jayenge ki is time aisa kaun sa google ka product hai jo hum log use nhi kar rahe hai .Hum jab bhi internet chalate hai to google search engine se chalate hai jiski detail google rakh leta hai apne paas kis samay humne kya search kiya google par usko sab pata rehta hai,dusra hum log free ke chakkar me gmail bhi use karte hai email send karne ke liye uski bhi sari detail google ke paas  time to time pahuchti rehti hai,hum youtube par kya search karte hai kya dekhte hai ye bhi google janta hai kyonki youtube google ki hi ek company hai,Isi tarah google ne pure internet par ek jaal (trap) sa bana liya hai ,aur duniya ke sabhi users ka data apne database me collect karta rehta hai.
ye to main google ke 2-3 product hi bataye baise google ke paas bahut se aur aise tarkibe hai jisse bo aapki information kisi na kisi madhyam se chori karta rehta hai,jaise google analytics,blogger,adword,google business etc.


Achha chalo ek example se samjhate hai ,jab hum internet par kuchh search karte hai iske baad kuchh result khul kar aate hai hum iske baad kisi website par jakar uska article wanha par padhte hai ,iske baad 2 din baad fir se hum jab wahi same cheej google par search karenge to dekhenge aur sabhi website ki link ka color alag hoga aur jis website par aap ja chuke ho pehle uski link ka color alag hoga,isse kya pata chalta hai ki google hum par najar rakh raha hai tabhi to usko pata chala ki ye insaan pehle is website par ja chuka hai.I think ab aapko visbas ho gaya hoga ki google aap par najar rakh raha hai 24 ke 24 ghante .
Main ab yanha par jyada deeply nhi jaunga nhi to ye post bahut lanba ho jayega isiliye sirf kaam ki hi baat bata raha hoon ki kaise aap ye sab history ko google se delete kare ,yaad rahe sirf wahi history aap delete kar paoge jo google pehle se hi save kar chuka hai.
To chaliye dekhte hai kaise google se apni sari detail ko hatate hai

Google se puarani jankari hataye web se step by step 

Step:1) Sabse pehle is website par jana https://www.google.com/history aur apni email id se login karna
 


Step:2) Iske baad jab page puri tarah khul jaye to wanha par ek  gear ka icon hoga us par click karna aur iske baad setting me jaana.

 
Apni  Internet Ki puri History Ko Google Se Kaise hataye?

Step:3) Iske baad wanha par ek option hoga delete all link isi par click karna .

 
Apni  Internet Ki puri History Ko Google Se Kaise hataye?

Step:4) Iske baad ek pop up message khul kar aayega jisme aapse kaha jayega ki kya aap sach me history ko delete karna chahte hai simply Delete all par fir se click kar dena,isse apki sari history jo ab tak google ne colect ki hui thi delete ho gayi hogi .Agar aap puri history delete nhi karna chahte hai to wanha par ek ek karke delete karne ka bhi option hota hai aap jo chaho bo delete kar sakte hai.

Step:5) Aur ab aap agar chahte hai ki google aapki history ko collect na kare to simply kya kariye fir se setting me jaana wanha par ek option hoga turn off ka simply us par click kar dena bas.

Note: History ko delete karne se ya fir turn off karne se ye matlab nhi hai ki Ab google aap par najar nhi rakh raha hai ,ab bhi wo aap par najar rakh raha hai ,aapki sari information uske server tak pahuchti hi rahegi jab tak aap google ke product use karte rahoge .Upar bataye gaye method se aap sirf apni history ko delete kar sakte hai jisse aapki history ko aapka koi dost ya family member  ya koi security aganicies nahi dekh sakegi.
To dosto is tarah aap apne dwara kiye gaya internet ke use ki janakari mita sakte hai ,Aur safe ho sakte hai.

Agar aapko kisi bhi step me koi dikkat ho rahi ho to comment karke mujhse puchh sakte hai ,aur Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks aur hack la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi share buttons ka prayog kar sakte hai.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.