Android Phone ka Delete Hua Data Recover Karne Ka Best Tarika

Waise to ye  method 100% work karega bas aapke step ke follow karne ke tarike par depend karta hai.Agar aap yanha bataye gaye procedure  ko sahi se follow karte ho to aapko koi paresani nhi hogi apna khoya hua data ko bapas pane me.Jab hum koi cheej apne mobile se delete kar dete hai to wo actual me puri tarike se delete nhi hui hoti hai wo haa aapko lagegi ki delete ho chuki hai lekin sahi kahe to wo aapke mobile me recovry file ke roop me save ho jati hai .Aaj kal jitne bhi phone aa rahe hai sabhi me backup ka option hota hai ab aap socho ki kaise backup hota hai ,actual kya hota hoga ki jab bhi aap data ko backup karte honge to data ka jo backup hota hoga wo kisi backup file me jaise .db file me save ho jata hoga tabhi to jab hum us backup ko recover karte hai tab yahi file responcible hoti hai humare data ko bapas laane me ,Agar aap iske baare me aur jaanna chahte hai to suniye ki aap whatsapp to use karte hi honge na aap kya karna ki apne sd card me jana uske baad whatsapp ke folder me jana fir databas ke folde me jana yanha par aap dekhenge ki .db ki kuchh files hoti hai ,inka kaam pata kya hota hai ki jab bhi hum whatsapp par koi message delete kar dete hai wo messsage in files me hi save ho jata hai jisse baad me inhi files ka use karke hum whatsapp ke mesage bhi recover kar lete hai ab to aap samjh hi gaye honge puri story.

Bilkul is tarah humara ye post bhi work karega ,isme kya hoga jab koi data delete hua to nishchit hai wo kisi file ke roop me jakar save ho gaya hoga ,to bas hum kya karenge ki kaise bhi karke us file se us data ko bahar nikal lenge wo main aaapko aage bataunga kaise aap iski chinta nhi kariye ,itna sab kuchh to maine aapko sirf knowledge ke liye bataya hai taaki aapko pata to hona chahiye ki humare background me chal kya raha hai .Js kaam ke liye sabse badi aur sabse important baat hai ki aapka phone rooted hona chahiye kyonki jo file hum delete kar dete hai wo humare phone ki system folder me chali jati hai aur usko hum aise nhi dekh sakte hai uske liye hi hume apna mobile root karna padega ,baise mobile ko root karna koi badi baat nhi hai ,agar aap technology se pyar karte hai to ye to nishchit hai ki aapka phone root hona chahiye ,agar aap nhi jante hai ki kaise phone ko root kare to aap chahe is link par jaakar apne mobile ko kaise root kiya jaye seekh sakte hai .Khair main ab maan ke chal raha  hoon ki aapka mobile phone root ho chuka hai.

Data recovery software by POTATOSHARE  ki help se  DELETED FILES RECOVER karna

Yanha par hum ek software ka use karne ja rahe hai jo data ko recover karne m humari help karega .Ye ek aisa software hai jo khaas taur par delete ho gayi files ko recover ke liye hi design kiya gaya ,ye sabhi type ke windows operating system jaise Windows7,8,8.1/2008/2003/2000/Vista/XP/NT  ke liye ban chuka hai .Hum logo se galti se bahut si files delete ho jati hai pura ka pura sd card hi format ho jata hai to uske liye ye software bahut hi helpful hai ye badi hi saralta se aapki sare delete huye contacts, SMS, images, music songs, videos, documents, archives etc ko recover kar deta hai .Jaisa ki maine bataya ki aapka android phone rooted hona chahiye to bas hona chahiye bina root ke ye recover nhi kar payega.

Aap neeche diye gaye steps ko sahi se follow kariye jaisa jaisa bataya ja raha to aapko koi paresani ka samna nhi karna padega.


Step:1) Sabse pehle aapko jarurat hogi ek computer ki jisme aap is data recovery software ko install kar sako.
 
Step:2) Ab aapko karna kya hai ki google ki help lekar is recovery software ka latest version download kariye usse aapko jyada fayda hoga ,yanha par main download link nhi de raha hoon kyonki software update jaldi jaldi hota hai .Aap google par jakar search karna download recovery program by potatoshare madad se Data recovery software download kariye aur usko apne windows computer me install kar lijiye.
 

Step:3) Iske baad aap is software ko open karna
 

Step:4) Ab aapko usb cable ki help se apne android phone ko computer se connect kariye
 

Step:5) Ab jab aap connect kar lenge aur aapka android phone apke desktop par show hone lage tab aap potatoshare software me jaana aur wanha par aap dekhenge ki aapka phone wanha par show kar raha hoga.
 

Step:6) Aur wanha par aap ye 2 option dekhenge
  • 1) Scan contacts, call history and messages
  • 2) Scan photos, videos or other files

Ab agar aapko sirf contact call history and message hi bapas lane hai jo delete ho chuke hai to simply pehla bala hi option choose kar lena ,aur agar photo.video etc ko recover karna hai to dusra bala option choose kar dena.
 

Step:7) Ab simply kya kariye wanha par ek button hogi jis par likha hoga start sirf us par click kar dijiye.
 

Step:8) Jaise hi aap start button par click karenge ye recovery software scaning karne lagega aur pata lagayega ki kaun se kaun sa data delete hua hai ,ghabrana mat iski scanning me kuchh minutes lag sakte hai isiliye scaning complete ho jane dena ,aur jaise hi ek baar scanning complete ho jayegi to aapke samne aapka sara deleted data show karne lagega ,ab jisko aapko recover karna hai wanha par ek recover ka option hoga simply recover kar lena .

6 aur best software jisse aap apna lost hua data bapas pa sakte ho.

Maan lo kisi karan bas upar diya gaya method work nhi kiya ya upar jo software diya gaya hai wo aapke phone le model ko support nhi kar pa raha ho ,to aise me aapko niras hone ki jarurat nhi hai ,iski bahut si wajah ho sakti hai jaise aapka phone sahi se root na ho paya ho ye sabse jyada important baat hai ki aapka android phone sahi se complete rooted ho .

Aisa nhi hai ki jo upar software aapko diya gya ho wahi akela ek aisa sotware ho nhi iske jaise kafi sare software hai jo data ko recover kar dete hai ,main kuchh software ke naam neeche aapko bata raha hoon ,agar aapke phone model ne potatoshare software ko support nhi kiya ho to aap in softwares ka use kar sakte ho ,inka use karna bilkul aasan hai jaisa ki maine aapko upar method me bataya hai bas thoda user interface me change hoga baaki ka sab ek dam same hoga .In softwares ko aap inki official website se badi hi aasani se download kar sakte ho .
  • 2) Remo  recover tool
  • 3) YODOT
  • 4) DUMPSTER  RECYCLE BIN
Hello mere techy dost aap kaise ho ,I hope you are fine .Agar aap search kar rahe hai ki Android mobile ka data jo delete ho gaya hai usko  recover or retrieve kaise kare to aap ek dam sahi jagah par aaye hai , Aaj main aapko kuchh aisa batane ja raha hoon jiski jarurat ek na ek din sabhi ko padti hai ,baise to is post ka title padhkar puri baat hi clear ho jati hai .Lekin main yanha aapko sab kuchh details se bataunga ,yanha main aapko aisa method bataunga jiski help se aasani se aap apne mobile se delete huye picture,video,movie,mp3 audio ,documents etc ko bapas pa sakenge.Itna hi nhi main pure tarike ko full detail ke sath bataunga .