C/C++ Source Code Ki Help Se Hacking SoftWares Kaise Banaye Seekhiye Hindi Me

Aaj ka post dosto programming se related hai jisme main aapko c langauge se hacking me use hone bale softwares kaise banaye jate hai uske baare me bataunga.I think aap jante honge c langauge ke baare me tabhi ye post aap padh rahe hai.Aur itna to jante hi honge ki software ko design karne ke liye kuchh  programming langauge ki jarurat padti hai  jinme se ek hai c language or c++ language.

 
Agar aapki c programming me achhi command hai to aap is post ko padhkar bahut kuchh seekh sakte hai aur apne insitute me apna jalwa bikher sakte hai apni knowldge ko share karke.
Aapko bata du ki aap is post me kya karne ja rahe hai aur kya kya seekhenge,aap ye to jante hi honge ki windows computer me jab aap koi software install karte hai to us software ka extension .exe hota hai to aaj ke is post me main aapko yahi .exe ki file banana sikhaunga ,aur ek example lekar sath sath samjhata bhi jaunga.

Kaun Sa Software Hum Banayenge Is Article Me?

Is post me hum apko ek aisa software banana sikhayenge jisko exicute karne ke baad aapke computer/laptop ke sabhi usb port kaam karne band kar jayenge ,mera matlab aapke computer se koi usb pendrive lagakar koi data chura nhi sakega aur jab tak aap nhi chahoge tab tak koi bhi data aapke computer se bahar nhi ja payega.Ghabraiye mat sath sath main ek aisa software bhi banana sikhaunga jisse aap fir se bapas apne computer/laptop ke usb port kaam me la sakoge.Hacker log humesa apne compter ke port block karke rakhte hai taaki unka koi bhi sensitive data chura na sake ,to aap iska apne hisab se istemal kar sakte hai ab chahe bo fun ke liye ho ya fir knowledge gain karne ke liye.

Aapko Kya Benifit Hoga Is Post Se?

  • 1. Aapko internet par bahut se aise code mil jayenge jinse aap bahut kuchh bana sakte ho ,aap google me search kar sakte ho kisi software ka source ke naam se to aap bahut se source code mil jayenge c language ke,aur aaage main baise bhi aapko batane ja raha hoon ki un source code ko kaise compile karna hai.
  • 2. Aap apne naam ka chhota sa hacking tool bana sakte hai
  • 3. Agar aapke paas kisi software ka code ho jo c language me likha hua ho usko exicute karke compile karna seekh sakenge.
  • 4. Sabse khas baat ki aap apne khud ke computer me c/c++ ke code ko exicute kaise kiya jaye ye bhi seekh sakenge.

To chaliye aage badhte hai hai aur ek software banate hai jisse aap kisi ke bhi computer ke usb port ko block kar sakte hai ,yahi example lekar main chal raha hoon .

Step By Step Process Port Disable/Block Karne Bala Software Banane Ke Liye

1. Ab aapna notepad open kariye aur usme jo neeche c code likha hai wo copy karke past kar dijiye aur us file ko save kar dijiye disable_usb.c ke naam se.
    #include<stdio.h>

void main()
{
system("reg add HKEY_LOCAL_MACHINE\\SYSTEM\\CurrentControlSet\\Services\\USBSTOR \/v Start \/t REG_DWORD \/d 4 \/f");
}

 
2. Ab aapko is disable_usb.c naam ki file ko compile karna hoga , Aapko ye janna bahut jaruri hai ki c ya c++ ke code ko compile kaise kiya jata hai aur exicute kaise kiya jata hai ,ye sab janne ke liye aapko alag se ek post padhna hoga jo maine kuchh dino pehle likha tha aap is link par jakar wo post padh sakte hai.Jab tak aap c code ko compile karna nhi seekhenge tab tak aap kuchh bhi nhi kar sakenge isiliye sabse pehle ye seekhna bahut jaruri hai tabhi aage ka post padhiye aur tabhi samjh payenge.

3. Ab main maan ke chal raha hoon aap c code ko compile karna seekh gaye honge aur badi asani se disable_usb.c file ko exicute& compile karke disable_usb.exe software bana liya hoga.

4. Ab aap kya kariye simply disable_usb.exe par right click kariye aur usko administrator mode me run kariye isse aapke computer ke sabhi port kaam karne band ho jayenge.

Ab Aap Fir Se Kaise Sabhi Port Ko UnBlock Kare

1. Jo neeche c code diya gaya hai usko notepad me copy karke past kar do aur isko save kar dijiye unblock_usb.c  ke naam se.
#include<stdio.h>

void main()
{
system("reg add HKEY_LOCAL_MACHINE\\SYSTEM\\CurrentControlSet\\Services\\USBSTOR \/v Start \/t REG_DWORD \/d 3 \/f");
}

 
 
2. Ab aap unblock_usb.c ko compile kar lena pehle ki tarah aur ye compile hone ke baad unblock_usb.exe ke roop me convert ho jayegi.

3. Ab jab ap is unblock_usb.exe par right click kijiye aur isko administrator mode me run kar dijiye ,isse aapke sabhi block port fir se enable (unblock ) ho jayenge.
 

Conclusion:

Aap isse mere khayal se bahut seekh sakte hai ,haa ek baat aur aap dariye nhi is post se kyonki ho sakta hai aapke mind me aaye ki isse kuchh galat na ho jaye aapke pc me to aapko bata doon jab tak aap darte rahoge tab tak aap kuchh bhi nhi seekh paoge ,insaan galti karke hi seekhta hai ye to aap jante hi honge.Aapko sach kahu is tarah apne pc se chhed chhad karna mujhe bahut achha lagta hai ,agar aapko kisi bhi step me koi dikkat ho rahi ho to aap mujhse puchh sakte hai bejhijhak.

Agar aapko ye post pasand aayi ho to ise share karna na bhooliye.

Thank you.........