Hello
dosto,main aapka is bilingual blog me hardik swagat karta hoo.Aaj kaye
post un logo ke liye hai jo programming language jaise c
,c++,php,html,dbms,ruby etc seekh rhe hai par nhi jante hai ki iske
program ko compile and execute kaise karte hai kaise compiler ka setup
karte hai ,to agar dosto aap ye janna chahte hai to ap ekdam sahi jagah
par aaye ho ,lekin aap samjh sakte hai ki agar main aapko sab kuchh ek
single post me nhi samjha sakta hoon ,isiliye aaj ke is programming ke
pehle post me main aapko c language ke program ko compile karna
seekhenge.Biase jo engineering ke students hote hai unke college me to
pehle se hi turbo c++ ya borland c++ compiler install hota hai aur wanha
par wo sahi se performence bhi de lete hai ,lekin jab bo ghar laut kar
aate hai to kucch program taiyar karte hai c language ke to unhe us
program ko compile karne ki need mehsoos hoti hai ,ab bo dusre din ka
wait to karega nhi ki fir bo colege jayenge aur apna program compile
karke dekhenge.Main khud personaly is situation ko handle kar chuka
hoon.Isi wajah se aaj main is post ki help se aapko bataunga ki kaise
compiler ko apne computer me set up kare .Biase ye kaam ekdam asan hota
hai lekin thodi si bhi galti hone par students usko sahi tarike se set
nhi kar pate hai ya to bo installing me kuchh galtiya karte hai ya fir
usko setting karne me galtiya karte hai iske parinam swaroop unhe bahut
si error milne lagti hai,inhi sab baato ko dhyan me rakhte huye aapke
samne ye post rakhne ja rha hoon jiso follow karke aap without any error
apne progam ko compile kar ayenge agar apka c or c++ code sahi hua to.
Kaun sa compiler main use karne ja raha hoon ?
Baise
to lagbhag ye sabhi log jante hai ki turbo hi sabse achha compiler hota
hai kyonki jaydadat college me school me isi ka use hota hai lekin hum
log humesa sochte hai kuchh simple kiya jaye ,Turbo chala pana har ek
liye simple nhi hota hai ,tabhi isi baat ko dhyan me rakhkar main aapko
is post me borland c++ compiler ka use sikhaunga aur bataunga ki kaise
borland ko apne windows computer me install karte hai aur kaise uski
setting karte hai.
Aapko kya kya knowledge honi chahiye is post ko padhne se pehle?
kyonki aap ye post padh rahe hai to ye main maan kar chal raha hoon ki aapko computer se khelna achha lagta hoga aur tarah tarah ke software aapko install karne me achha lagta hoga .Neeche main kuchh point bata raha hoon usko thoda sa dekh lo ,baise kuchh jyada khas point nhi hai ye sabhi ko maloom hote hai lekin fir bhi main aapke samajh ke liye un points ko aapko bata raha hu jisse help milegi apko samhjne me aur mujhe samjhane me .- 1. Aapko Notepad ki jankari honi bahut jaruri hai ,baise aaj ke samay me Notepad ko sabhi log jante hai Jo nhi jante hai unhe bata de ki Notepad ek tarike ka text editor hota hai aur isme bahut se inbuilt feature hote hai jo humare system me kayi tarike ki extension bali files banane me maahir hota hai .By default ye sabhi windows based computer ke pehle se hi installed hota hai ,aap search baar me search karke isko open kar sakte hai agar aap nhi jante hai to.
- 2. Aapko notepad me kuchh likhkar usko save karna aana chahiye
- 3. Aapko c languag ki thodi bahut jankari honi chahiye bas itna hi ..
full step by step process c or c++ source code ko compile aur execute karne ka
Is full detailled guide ko start karne se pehle aaapse request karunga ki please yanha par diye gye sabhi steps ko carefully ek ek word padhkar follow kariye ,agar aap sabhi step sahi se follow karenge to mere dava hai ki 5 minute ke andar andar borland compiler ko apne desktop me install kar loge aur borland ki helps se aap c language ke source code ko execute kar paoge.Step:1) Sabse pehle aapko borland c++ compiler ko download karna padega apne computer ya laptop me ,aap isko directly neeche di gayi link se download kar sakte hai.
<<Download borland compiler for windows>>Step:2) Jab aap upar di hui link ki help se borland download kar lenge to aap dekhenge wo ek zip file hogi is zip file ko open karne ke liye aapko winrar software ki jarurat padegi ,jyadatar log is software ko pehle se jante hai kyonki ye ek bahut popular utility hai zip or RAR file ko open karne ke liye.
Step:3) Ab aap jab download kiye gye borland file ko winrar ki help se open karenge to usme ek file hogi C++5.51.exe ke naam se simply aapko is double click karke install karna hai .Iski by default location C:\Borland\BCC55 ye hoti hai .
Note: yaad rakhna yanha par mere computer me c drive system drive hai ho sakta hai aapke computer me ye D or E ho ye pehle insure kar lena ,baise main yanha par apne computer ki drive ko lekar chal rahe hai jo ki c hai. Aaage bhi ye baat yaad rakhna kyoni aage main kuchh command execute karwayunga.
Step:4) Ab main maan ke chal raha hoon ki apne borland ko apne system me install kar liya hai .Iske baad ab bari aati hai isko configure karne ki yahi hum logo ka main task hai compiler ko sahi se configure karna.Isko kaise configure karenge iske liye neeche diye gaye sub-steps ko dekhiye aur unhe follow kijiye.
- a) Sabse pehle aapko apna notepad open karna hoga aur usme jo neeche diya gaya 2 lines ka code hai use apne notepad me copy karna hoga aur use bcc32.cfg is naam se save karna hoga.
-I"c:\Borland\Bcc55\include"
-L"c:\Borland\Bcc55\lib"
- B) Ab dobara aapko apna khali notepad kholna hai aur neeche jo 1 line ka code hai use apne notepad me likhna hai aur use ilink32.cfg is naam se save karna hai
-L"c:\Borland\Bcc55\lib"
- c) Ab aapke paas 2 files ho jayegi
1-bcc32.cfg
2-ilink32.cfg
- d) Ab aapko karna kya hai ki in dono files ko (bcc32.cfg aur ilink32.cfg ) ko is location C:\Borland\BCC55\Bin par jakar past karni hogi .
Step:5) Ab jab aap step no. 4 sahi se follow karenge to aapka compiler succesfully configure ho jayega .
Step:6) Ab jab humne sabhi kaam kar liye jaise compiler ko download karke install kar liya aur usko configure bhi kar liya to bas ab end me kaam bachta hai kya sirf c language ke source code ko comiple kaise kare to ab aage ke steps me main bataunga ki kaise ab c or c++ ke code ko(.c file) borland ki madad se execute karte hai .Iske liye neecheke steps dekhiye aur unko follow kariye.
- a) Maan lo aapke paas c source code (.c extension bali file) bali ek file hai something.c naam se hai aur aap usko compile karana chahte hai to sabse pehle us something.c file ko is neeche di gayi location me jakar copy past karna hoga.
C:\Borland\BCC55\Bin
- b) Uske baad aapko apna command prompt open karna hoga ,agar aap nhi jante cmd ko kaise open kiya jata hai to aap ye kariye (Start->Run->type cmd-> and hit Enter )
- C) Ab aapke saamne cmd ki black screen khuli hogi usme aapko jo neecha likha hai wo likh kar enter ki button dabani hai.
cd/
- d) Iske baad jo neeche likha hai wo likh kar enter ki button dabani hai.
cd C:\Borland\BCC55\Bin
Note: yaad rahe cd aur c ke beech me 1 space ( khali jagah ) hai .
- E) Ab time aa gaya hai aapke something.c file ko compile karne ka to uske liye jo neeche command likha hai wo daal kar enter ki button press karni hogi.
bcc32 something.c
Note: Yaad rahe ki bcc32 aur something.c ke beech me 1 space (khali jagah ) hai.
- f) Bas ab agar aapke .c source code (something.c) me koi error nhi hogi to to wo asani se ab soemthing.exe file me convert ho gayi hogi aur aapko successfull ka message mil jayega ,aur ye something.exe file aapko same location C:\Borland\BCC55\Bin me mil jayegi.
Step:7) Ab aapne sab kucch seekh liya hai jaise borland ko configure kaise kare aur .c code execute karke use .exe file me kaise convert kare .Ab jab bhi aap apni something.exe file ko double click karke install karoge to aapka dwara banaya huya c program run hone lagega ,par haa yaad rahe aapko is exe file administator mode me open karna hai otherwise iske kuchh function ho sakta hai work na kare.
Ab dosto is post ka the end aagya hai ,aur main aasha karta hoon ki aapne is post ko enjoy kiya hoga aur mere dwara simple tarika aapko kisi aur dusri website me dekhne ko nhi milega main yanha par chhote se chhota step bhi mention karta hoon jisse ki mere webisite par aane bale ko koi dikkat ka saamna na karna pade,agar fir bhi aapko kisi bhi step me koi paresani ho rahi ya kanhi par bhi samjh me nhi aa raha ho to aap bejhijhak mujhe comment kar sakte ho.
Agar meri mehnat se aapko thodi bahut bhi knowledge mili ho please is website ko share karna na bhoole aapke support se mujhe himmat milgei aage aur bhi aisi hi intrested article daalne ki .To please is site ko share karke mera support kariye taaki main indians logo ko ek se badhkar hacking tricks and tips provide karata rahu....Dhanyabad aapka din shubh ho.Hume aapka dobara se intejaar rahega.