Hi dosto ye blog aapka swagat karta hai .Jaisa ki aap jante hai hacking ko hindi language me seekhna bahut asan hai lein uske liye koi aisi jagah bhi honi chahiye janha par hum hindi me hacking se related article padh sake ,Iske liye main apni si site ko wo plateform dena chahta hoon janha par aakar humare sabhi indians badi hi aasani se hacking seekh sake hacking ko samjh sake .Aap agar aaj ke new visitor hai is site ke liye to aapko ye jaanna chahiye ki main yanha par bahut se aise hacking ke article likh chuka hoon jo aap miss kar rahe ho ,i think aapko ye padhne chahiye jaise facebook hacaking ,gmail hacking,applock hacking etc aise bahut se .To chalo aaj ke humare post ki baat kare to main aaj aapko ek trick batane ja raha bascically ye koi hack nhi hai lekin hack se kam bhi nhi hoga aapke liye .Is article ki help se hum janenge ki kaise android Google play store ko hack kiya jaye aur un sabhi applications ko free me download kiya jaye jo hume kharidne padte hai .Agar sahi kahe to koi bhi google play store ko hack nhi kar sakta ye aap apne dimaag ka instemal karke khud soch sakte ho, lekin ab aap iske baare me kya sochenge ki aap agar free me paid apps download kar sake to ,aapke liye to ye ek hack ki tarah hi hoga na.Android play store par aise bahut se apps or software hai jo hume apna kaam karne ki sahuliyat provide karate hai ,lekin hum sad ho jate hai jab ye dekhte hai ki apne manpasand app ko uske devloper me free me download karne ke liye upload nhi kiya hai ,uske liye wo achhe khaase rupay charge karta hai ,agar aap achhi soch rakhte hai ki nhi main to is app ke devloper ko uski mehnat ke rupay jarur dunga to aapke liye ye post nhi likha ja raha hai ,ye article to main un logo ke liye likh raha hoon jinhe rupay ki problem hoti hai unke paas itni pocket manoy nhi hoti hai jo bo ye apps ko purchase karne me kharch kar de ,Unhi ki is majboori ko dhyan me rakhkar main ye post likh raha hoon.
Aakhir kaise hum download kar payenge paid apps free me?
Main aapko yanha par ya kisi aur mere article me adhura gyan nhi deta hoon ,main har ek article ki puri puri jankari aap tak pahuchane ki kosis karta hoon wo bhi hindi me help karke. To ab aap soch rahe honge kaise hum free me un sabhi paids apps ko download kar payenge aur unko apne android mobile me install kar payenge .Aapko bata de ki bahut se devoloper aise hote hai jo humari subidha ke liye bahut kuchh karte hai unhi me se ek devolpoer hai jinhone ek app design kiya hai jiska naam hai "blackmart" ,ho sakta hai aapne is app ka naam pehle kabhi suna ho .Is app ki wajah se hi hum android ke paid apps ko free kar pate hai .Ye app bilkul humare google play store ki tarah hi hai jisme kafi sare android apps, game hote hai ,Bas fark itna hai ki jo game ya apps hume google play store me rupay dekar kharidne padte hai wo app is blackmart app me bina rupay ke mil jate hai .Is app ka database bahut hi jyada bada hai ,hum ye to nhi keh sakte hai iska databas google play store se bada hai lekin usse bahut jyada kam bhi nhi hai .Isme bhi hajaro ki count me apps aur game dale huye hai .Aisa nhi hai blackmart hi internet par ek single app hai jo is tarah ka kaam karta ho iske alava bhi ek app hai jiska naam hai freedom app ,aap iska bhi use kar sakte ho ,baise sabse achha app mujhe blackmart hi laga isiliye iska article me aapke sath share kar raha hoon.Ab hum aage janenge ki Blackmart ko use kaise karte hai ,aur isko blackmart app ko download kanha se kare kyonki ye app hume google play store me nhi milega.Android ke rupay mangne bale app ko free me download karne ka tarika
Main apko neeche step by step samjhane ja raha hoo ki kaise blackmart app ka use kare .aapse request hai ki sabhi steps ko sahi se dheere dheere padhe.Step:1) sabse pehle aapko jarurat hogi blackmart app ki to aap ise neeche di gayi link par jakar download kar sakte hai.
<<Download Blackmart apk>>
Step:2) Ab aap blackmart ko download karne ke baad apne phone me install kar lena
Step:3) blackmart app ke install hone ke baad isko open karna.
Step:4) Ab aapko yanha par ek search baar hoga jaisa ki google play store me hota hai ,isme aapko wahi bala app search karna hai jisko aap chahte hai free me bina ek bhi rupay kharch karke download kar sake aur jisko aap google play store se free me download nhi kar pa rahe
Step:5) Iske baad jab search ka result aayega to aapke samne aapka favorite app aa ajyega jiske samne install likha hoga simply us par click karle install kar lena app ko.
Bas ab kya aapne free me succesfully google play store ke paid app ko free me download bhi kar liya aur install bhi kar liya.
Blackmart App Ke Kuchh Aur Intrested Feature
Jaisa ki aap chahte hai ki jab bhi agar aap blackmart app me koi bhi app search kare aur sirf result me wahi app khul kar aaye jo google play store me free me uplabdh nhi hai to aapko blackmart ki setting me thoda change karna hoga ,iske liye ap neeche ke steps dekhiye.Step:1) Apke blackmart screen me ek menu ka option hoga (Ho sakta hai aapke me 3 point se bane ho upar neeche) ,us par click karna.
Step:2) Iske baad kuchh option khul kar aayenge ek option hoga " sort mode setting " ka is par click karna .
Step:3) Iske baad kuchh option khul kar aayenge (sort mode,sort order,filter) jinme se sort mode par click karna ,iske baad ke option khul kar aayenge usme aap Rating ka option select kar dena.
Step:4) Ab aapko sort order ka option choose karna ,aur isme aapko Descending ka option select karna hai.
Step:5) Ab iske baad aapko filter ka option choose karnna hai aur isme paid select karna hai.
Bas dosto ab jab bhi aap blackmart me koi app search karenge to google play store ke paid app hi search hokar aaya karenge jinhe aap free me download kar payenge bo bhi ekdam aasani se.
Note: Main ye post sirf knowledge purpose ke liye hi likha hai ,aap isko please miss use mat kariye janha tak ho sake to hume devloper ko money dekar unki help karni chahiye taaki bo hume aur bhi achhe achhe app provide kara sake.
Ab aapko baari hai agar aapko kisi bhi step me koi dikkat ho rahi ho to mujhe comment kar ke puchh sakte hai .Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko facebook ,gmail,twitter etc par share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahuch sakta ,isiliye mere post ko share karke meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks aur hack la saku .....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.