2 Tarika Jisse PDF File Me Lage Password Ko Crack Kiya Jata Hai

2 Tarika  Jisse PDF File Me Lage Password Ko Crack Kiya Jata Hai

 Kya aap apne password protected pdf ka password kholna chahte hai aur jaanna chahte hai kaise usko remove kare to ye post khas taur par apke liye hi hai ...keep reading , Pdf ek aisa naam hai jo lagbhag sabhi log jante honge,sochiye kya hoga agar aaone apni pdf file me password laga diya aur usko bhool gaye ,aise main aapko google uncle hi yaad ayenge ,aur apni samasya ka solution search karoge to aap dekhenge ki sabhi article english me hi honge ,jisko sabhi log nhi samjh sakte hai ,unhi logo ki wajah se main apne kuchh english posts ko hindi me publish karta hoon,Taaki kisi bhi angle se mere readers ko koi dikkat na ho aur bo asani se password breaking or cracking apni matra bhaasa hindi me seekh paye. 

Ye bhi padhiye :
- See more at: http://www.extratipstricks.com/2016/03/computer-me-kisi-bhi-website-ko-block.html#sthash.qOxq5cQN.dpuf

Ye bhi padhiye :
- See more at: http://www.extratipstricks.com/2016/03/computer-me-kisi-bhi-website-ko-block.html#sthash.qOxq5cQN.dpuf
Pdf file apni information ko collect karne ke liye bahut hi achhi utility hai,jyadatar organistaion,colleges me ducuments pdf files hi di jati hai ,aur wo sabhi files password protected hoti hai.Aisa aapke sath kya mere sath bhi ho chuka hai mere college me ek pdf file me ek project diya tha lekin main password bhool gaya tha ,fir main Google uncle par jakar search kiya aur us password ka cracking solution find kiya wahi method aaj main aapke sath share karne ja raha hoon. 

Main yanha par aapko 2 method bataunga jisse aap badi hi asani se kisi bhi password pdf file se password ko remove karke uske andar ka content padh sakoge .

  • 1. online site ka use karke pdf ka password remove kaise kare
  • 2. AnyBizSoft PDF Password Remover software ka use karke password remove karna

1. online site ka use karke pdf ka password remove kaise kare

Agar aap koi software ka use nhi karna chahte ho to aapko bata du ki bina software ke bhi aap kisi bhi pdf ka password remove kar sakte ho .Bahut si aisi online websites hai jo pdf me lage encryption ko crack kar deti hai lekin main aapko ek bahut hi popular website ke bare me bataunga jo badi hi asani se password crack karti hai ,aur uska user interface bhi bahut easy hai jisse usko use karna bahut hi aasan hai .Online website me aapko bas apni pdf file jisme password laga hai usko upload karna hota hai bas aur baaki kaa kam wo website khud hi kar deti hai.

To chaliye dekhte hai kaise online pdf password remover website ka prayog karke password ko apni pdf file se puri tarah se hatate hai.
 


Step:1) Sabse pehle aap is website http://www.pdfunlock.com/ par jayiye ,yahi wo online website hai jo pdf ka password remove karne me humari help karegi ,ye meri favorite online pdf password cracking site hai.
 


Step:2) Iske baad ab website ko puri tarah se load (khul ) jane dena
 


Step:3) Ab kya karna hai aapko simply ek box hoga us par likha hoga my computer  ka  us par click karna aur apni pdf file ki location me jakar usko select kar dena ,aur apni pdf file ko upoad kar dena .
 


 Step:4) Iske baad aap unlock button par click kar dena ,isse aapki password lagi hui pdf file upload hone lagegi aur kuchh samay ke baad aapke samne ek nayi screen khul kar aayegi jisme aapki pdf file ka password remove ho chuka hoga 
 


Step:5) Ab simply us pdf file ko wanha se download kar lena ,ab aap jab us pdf ko kholenge to dekhenge ki usme koi bhi password nhi manga jayega aapse.

Is tarah aapne bina kisi 3rd party softare ka use krke pdf ka password tod diya hai .Is method ki ek problem hai ki maan lo aapki pdf file ka size bahut bada hai to aapko us file ko upload karne me jyada time lagega to fir aise me aapko software ki jarurat padti hai  ,to uske liye neeche bala method dekhiye jisme maine ek software ka use karke password ko remove kiya hua hai.

2. Software ki help se PDF Se Password Remove Karna

Step:1) Sabse pehle aapko ek software apne computer me download karna hoga ,jiska naam hai AnyBizSoft PDF Password Remover ,lekin ye software free me available nhi hai isko kharidna padega aapko ,lekin aap iska trial version download kar sakte hai aap isko google par search karke download kr sakte hai.

Step:2) Iske baad AnyBizSoft PDF Password Remover software ko open karna hai apne computer me.
 


Step:3) Jaise hi aap is software ko open karoge to ek screen khul kar aayegi wanha likha hoga getting started ,jiske neeche  ek option hoga Add files ka,simply isi par click kar dena aur apni pdf file ko select kar dena jisme password laga ho.


Step:4) Ab aap neeche screen me dekhna wanha par ek option hoga output folder ka ,isme aapko wo location dalni hai janha par aapki pdf file save ho jayegi jakar aur usme koi bhi password nhi rahega. 
 

Step:5) location dalne ke baad simply wanha par ek button hogi start ki is button par click kar dena .

Step:6)
Jaise hi start par click karenge to pdf ka password remove hone lagega aur dekhte hi dekhte aapke samne ek new screen aayegi jisme aapke pdf ka password likha hoga .
 


Step:7) Aise aapko apne pdf ka password pata chal jayega ,aur aap apni pdf ko khol payenge isi password ki help se .Jab aap apni pdf ki password protected file kholenge usme password mangenge simply yahi password daal dena .

5 best free software pdf password ko todne ke liye

Aapne upar 2 method dekhe jisme se ek to online method tha aur dusra software se pdf ka password hatane ka tha ,lekin wanha aapne dekha ki wo software free me uplabdh nhi tha ,to isi wajah se main kuchh software aur bata raha hoon jinki popularity bhi bahut hai ,aur unka kaam bhi bilkul streight forward hai .Aap neeche diye gaye software ko wanha di gayi link se download bhi kar sakte ho ,baise main aapko reccomend karunga ki aap online method use karo ya fir neeche jo software diya hai pdfcrack iska use kariye kyonki ye software bilkul free me hai aur password ko bhi bahut jaldi tod deta hai.
 

1.PDFCrack

2.PDF Password Remover

3.PDF Unlocker

4.PDFCrypt

5.PDFMate Free PDF Merger