Kisi Ka WiFi Internet Connection Disable (Disconnect) Kaise Kare Android Phone Se

Aaj main apko bataunga ki kaise hum same wifi se connected logo ko disconnect kar sakte hai taaki wo wifi ka use na kar sake.Iske liye hume jarurat padegi ek chhhote se android tool ki jiska naam hai wifi kill Pro .Is aap ki help se hum kisi dusre ko remove kar sakte hai jo
same wifi network se juda hua hai ,Mera kehne ka matlab hai maan lo aap apne college ke wifi se apne android  mobile par internet chala rahe ho aur usi same college ke wifi se apka friend wifi chala raha hai ab bo chahe mobile se chala raha ho ya fir computer/laptop par chala raha ho fark nhi padta ,to aap apne phone se usko wifi se disconnect kar sakte ho fir wo internet nhi chala payega.

I think ab aap samjh gaye honge main kya kehna chahta hoon aur aap kya seekhne ja rahe ho to chaliye start karte hai.

Requirement :

  • 1. Aapka phone rooted hona chahiye otherwise ye wifi kill pro app work nhi karega .Mobile root kya hai kaise kiya jata hai with and without computer ye sab janne ke liye is article ko padhiye phone root kaise kiya jata hai 6 method
  • 2. Android version 2.2 or higher.
  • 3. Some mind and few seconds.

To chaliye jante hai kaise wifi kill app ko use karte hai.


Step by step wifikill pro app ko use karne ke liye

1. Sabse pehle wifi kill Pro app neeche di gayi link se download karke apne phone me install kar lijiye.
Download WiFi Kill Pro [MediaFire Link].
2. Iske baad ab apne phone ko wifi network se conect kar lijiye.

3 Ab simply wifi kill app ko open kariye ,open karte hi ye aap aapse root permission mangega ,to use root grant kara dijiye.
 
4. Ab aapko wifi kill app ki homescreen milegi wanha par ek option hoga "Start" ka us par click kariye.Isse kya hoga ki ye sabhi devices ko scan karne lagega jo same wifi se connect honge ,aur jab scanning puri ho jayegi to aapke same wo sabhi phone/computers show hone lagenge jo same usi wifi se connected honge jisse aap connect ho.
 
5. Yadi aap sabhi device ko disable karna chahte hai wifi network se to sabse pehle right side me option hoga "grab all" ka us par jana aur fir "kill all" button par click kar dena jo right side me hogi.
 
6. Ab agar aap kisi ek perticular  person ka internet disable karna chahte hai to sabse pehle us person ki device ip par click karna  aur "grab" button par jana aur fir kill button par click kar dena.Isse uska internet connection kat jayega .
Note: Actual me kya hota hai wifi kill app internet connection ko terminate nhi karta hai balki packet data ko device tak pahuhne se rok deta hai yaani block kar deta hai isiliye fir wo person internet use nhi kar pata hai.
7. Ab agar aap chahte hai ki koi user fir se internet chalane lage to aapko packet data jo aapne block kar diya tha use perticular insaan ke liye usko unblock kar do simply "stop" bali button par click karke.

Bas dosto ab apne successfully kisi perticular ya sabhi logo ko wifi se disconnect karna seekh liya hai ,dhyan rahe ye tabhi possible hai jab aap aur aapka friend same wifi network se juda hua ho.

Wifi kill Pro app ki kuchh aur Important  work:

  • 1. Agar aap chahte hai ki wifi kill app aapke mobile ki full screen par chale to iske liye sabse pehle "preferences" me jana and uske baad "full screen" par click kar dena .
  • 2. Agar aap un sabhi device ke naam janna chahte hai jo same wifi se connect hai to simply go to "Preferences" and then check "Show network names" option.
  • 3. Agar aap un sabhi devices ka mac address dekhna chahte hai jo same wifi se connect ho to iske liye simply go to "Preferences" and then check "Show MAC" option.
  • 4. Agar aap vendor of NIC check karna chahte hai kisi device ki to simply go to "Preferences" and then check "Show NIC Manufacturer" option.

Ab aapki baari hai dosto mujhe bataiye kaisa laga aapko ye post ,agar aapko ye post pasand aaya ho to please ise share karna na bhooliye.Agar kisi bhi step me aapko koi dikkat aa rahi hai to comment kijiye ,aaapki problem door ki jayegi jitni jaldi ho sakega utni jaldi.
Thank you stay tune with this blog....
{{WiFi Kill Pro - Android App For Hackers}}