6 Method Se Apne Android Phone Ko Root Karna Seekhe With and Without Computer Ki Help Se

Mere bahut se readers ne mujhse ye sabal puchha hai ki kaise phone ko root kiya jaye ,isse kya kya fayde hote hai ,kya kya nuksan hote hai.To aaj main bo sab yanha detail se bataunga aur lagbhag sabhi achhe software ke baare me batuanga jo
phone ko root karne me useful hote hai aur sath sath unhe kaise use kiya jaye ye bhi bataunga .Agar aap phone na root hone ki samasya se paresan hai t don't worry ye post padhkar aapka phone aaj rooted ho jayega.
Bas ek request hai aapse ki ye to aap jante hi honge ki har ek phone model ko root karne ka ek alag hi tarika hota hai ,kisi phone koi software kaam karta hai to kisi me koi dusra rooting software kaam karta hai ,to aap ghbarna nhi agar koi ek method se aapka phone root na ho to simply dusra method use karna .


Rooting hai kya?

Android operating system me kuchh limitation hoti hai jisse hum system file tak nhi sakte hai ,isi limitation break karne ki process actual me rooting kehlati hai.Android phone ki jo system setting hoti hai us tak hum aise sadharan nhi ja sakte hai ,aapne agar dhyan diya ho to jab aap computer me apne phone ko connect karte hai aur phone memory me jate ho to wanha par dekhte honge ki bahut sare aise folder hote hai jinhe aap apne android mobile ke file manager me nhi dekh pate hoge .To simple language me kahe to inhi folder ko apne android phone me show karane ki process ko hum root keh sakte hai ,android phone ko root karne se hum uski jad tak sakte hai yaani uski system setting tak apni pahuch banate hai.Aur ek baar hum kisi bhi system ke files tak pahuch jaye to bahut kuchh kar sakte hai.

Android phone ko root karne se kya kya fayde hote hai

  • Root karne se sabse achha fayda hota hai ki hum apne phone ki internal memory ko increase kar sakte hai ,aur kisi bhi apps ya game ko phone memory se micro sd card me move kar sakte hai,bina rooting ke ye possible nhi hota hai.
  • Root karne ke baad ap custom ROM and tailer-made ROM install kar sakte hai,aur apne phone me latest android os use kar payenge.
  • Rooting karne ke baad aap apne phone ki ROM ko costomize kar sakte hai yaani badha sakte hai jisse aap apne phone ke processure ki speed bhi badha payenge.
  • Sabse achhi baat to ye hai ki aap bahut se aise software ka use kar paoge jo khas taur par rooted device ke liye bane hai.
  • Rooting ke baad aap hacking ke apps bhi use kar payenge ,aur tarah tarah ke task kaise wifi hacking,game hacking,pentesting,ads remove etc
Aise bahut se fayde hai rooting ke jinhe me agar ek ek karke likhunga to pura post isi se hi bhar jayega.

Rooting Se Hone Bale Nuksan?

Rooting ke baad aap apne phone ki warranty kho denge.
Agar aapne system location me jakar kuchh chhed chhad ki to aapka phone kharab bhi ho sakta hai ,haalanki iske bhi method hai sahi karne ke ,lekin  fir bhi phone ko root karne ek baad apne phone ki system file me koi changing nhi karna agar karna to soch samjh kar karna .


baaki koi jyada bada nuksan nhi hai ,aur ghabrane ki jarurat nhi hai sabhi problems ka ilaj hai internet par .

Root karne se pehle aapko kya kya karna hai?

  • Apne phone ki battry ko 60% se upar charge karke rakhna hai.
  • And apne phone me unknown sourced ko enable karna hai taaki aap kisi app ko install kar sako ,jo applications hum google play store ke alava kisi aur site se download karte hai to unhe install karne ke liye unknown source enable karna padta hai .Ise enable karne ke liye aap sabse pehle phone setting me jana fir security me jaana iske baad wanha ek option hoga unknown source ka uske samne jo box hoga us par tik kar dena.

(A) Without PC Ke Use kiye Apna Phone Root Karna

Jaisa ki maine bataya ki bina pc ko root karna y apne aap me hi bahut jyada puchha jane bala sabal hai ,so main neeche kuchh method bata raha hoon ye sabhi bina computer ke use ke phone ko root karne me help karenge,agar method 1 aapke phone me support na ho to method 2 try karna ,aur agar method 2 bhi work na kare to method 3 try karna and so on... kyonki maine aapko bataya ki har ek phone model kisi perticular software se hi root hote hai ,isiliye alag alag software use karne padenge aapko aur sabko bari bari se try karke dekhna hai.

main yanha par sab best se best software ko aapke sath share kar raha hoo plus bata raha hoon ki use kaise use karna hai ,aasha karta hoon apka phone root ho jayega.

#1:Method ) Framaroot ki help se phone ko root karna bina computer ke

Framaroot ek aisa one click root software hai jo lagbhag lagbhag sabhi phone ko root karne me useful saavit ho chuka hai.Ye bahut se android phone model ko support karta hai aur dusre software ke respect me.Isko XDA forum ke achhe developer ne banaya hai jinka naam hai Alephzain.
 

To chaliye jante hai framaroot ki help se kaise phone ko root kiya jata hai.
 

Step:1) Sabse pehle aapko jarurat hogi framaroot application ki to simply neeche di gayi link se framaroot apk ko download kar lijiye aur apne android phone me usko install kar lijiye.
<< Download Framaroot apk >>
Step:2) Iske baad framaroot ko open karna
 

Step:3) Ab aap yanha par dehenge ki aapko exploit select karna padega,agar aapko iske baare me koi idea nhi hai to pehle aap isko ek ek kar select karke check karna, mera matlab pehle install superSU check karna agar isse na ho to dursa check karna ,aapka phone rooted ho rha ki nhi.
 

Step:4) Iske baad neeche di gayi root button par click kar dena bas kuchh seconds baad aapka phone root ho jayega .
 

Step:5) And aapko successful ka message bhi mil jayega ki ,iske baad aapko phone ko switch off karke open karna hoga iske liye okay ki button par click kar dena,isse apka phone restart hone lagega aur aapka phone root ho jayega.

#2:Method) z4Root software ki help se android phone Root karna bina desktop ke

Neeche diye gaye steps ko follow kariye jaise bataya gaya hai.
 

Step:1) Sabse pehle z4Root ko neeche di gayi link se download kar lijiye aur apne phone me usko install kar lijiye.
<< Download Z4Root apk >>

Step:2) Iske baad Z4Root ko open karna apne phone par
 

Step:3) Iske baad aap dekhenge wanha par 2 option honge ek hoga temporary Root ka aur dusra hoga permanently root ka
 

Step:4) Simply kya kariye permanently root bala option choose kariye aur fir iske baad rooting process start ho jayegi aur 1 minute ke bheetar aapko succefull ka messag mil jayega ki aapka phone root ho chuka hai
 

Step:5) Simply apna phone ek baar restart kariye bas aapka phone rooted ho chuka hai

#3:Method)  kingroot ki help se Phone ko Root karna without computer

Kingo root software se wo sabhi phone root ho jate hai jo Mediatek (MTK)  par run karte hai.Ye app bhi lagbhga sabhi model ko support karta hai ,isi app se maine apne bhi phone root kiya tha aap isko try kar sakte hai ,ho sakta hai ye aapke phone ko bhi support kare. To neeche diye gaye steps dekhiye aur unhe follow karte jayiye.
 

Step:1) sabse pehle kingo root app aapko download karna hoga isko neeche di gayi link se download kar sakte hai.Iske baad isko apne phone me install karna hoga
<< Download KingRoot apk >>

Step:2) Ab kingi root ko open karna 

 
Step:3)
Jaise hi isko open karoge to iske homepage par hi aapko ek bada sa option dikhega Root your phone ke naam se simply us par click kar dena.
 

Step:4) Ab agar aapka phone kingo root support karta hoga to aapke phone par succefull ka message a jayega
 

Step:5) Ab bas apne phone ko restart karna aur rooting ka maza lena.

#4:Method) Towel Root ki help se phone ko root kaise kare computer ke bina

Ye software khas taur par kitkat android 4.4.2 smartphones ko root karne ke liye banaya gya hai ,isko Geohot ne develope kiya hai.Ye lagbhag sabhi samsung ke phones ko support karta hai par kuchh ko nhi karta hai.

Isko use kaise karte hai iske liye neeche diye gaye steps dekhiye
 

Step:1) Sabse pehle aapko jarurat hogi Towel Root app ki aap ise neeche di gayi link se download kar sakte hai aur isko apne me install kar lena.
<< Download Towel Root apk >>

Step:2) Iske baad Towel Root app ko open karna.
 

Step:3) Yanha par aapko ek option milega Make it Ra1n simply isi par click kar dena.
 

Step:4) Aur kuchh seconds ke liye wait karna and aapka phone agar supprted hua to asani se root ho jayega.

#5:Method)  kingoRoot ki help se Phone ko Root karna without computer

Aapne Method 3 me  jo software use kiya uska naam tha kingroot tha lekin is software ka naam hai kingoRoot hai so confuse mat hona aap ,dono softwares alag alag developer ne banaye hai ,isiliye dono ki functioning bhi alag alag hi hai.Android phone ko root karne ke liye ye bhi ek popular software hai ,Isiliye aapko iso bhi ek try dena chahiye.

Note: Dhyan rakhna is software se phone ko root karne ke liye aapko internet conection ki jarurat padegi isiliye aapke paas working internet connection hona chahiye Tabhi phone ko root kar payenge.
Neeche diye gaye steps ko follow kariye aur apne phone ko rooted kariye
 

Step:1) Sabse pehle aapko kingoRoot app download karna hoga ,isko aap neeche di gayi link par jakar downlaod kar sakte hai ,aur jab download ho jaye to isko install kar lena phone me.
<< Download KingoRoot apk >>

Step:2) Iske baad KingoRoot ko open karna.
 

Step:3) Iske baad homepage par ek option dikhega Root your phone ke naam se us par click kar dena .
 

Step:4) Ab bas agar aapka phone supported hua aur aapka internet connection achha hua to aapka phone 1 minute ke andar root ho jayega ,fir phone ko restart kar dena bas.

B) computer ki help se phone ko root karna

Agar upar diye gaye method work na kare to aap computer ki help le sakte ho aur apne android smartphone ko root kar sakte ho .Main neeche ek method batane ja raha hoon jisse apke phone ke root hone ke chances jyada hai.Isiliye neeche diye gaye steps ko sahi se follow kariye .

Computer ki madad se phone ko root karne se pehle aapko apne mobile ki usb debugging ko enable karna hoga taaki aapka phone computer se connect ho sake.USB debugging on karne ke liye aap neeche diye apne phone ke version ke according usb debugging enble kar payenge:

  • 1) Agar Aapka android version 2.3 ya isse jyada ho to-  sabse pehle setting me jana iske baad  application  par click karna fir  devolopement par click karna iske baad  usb debugging  par tik kar dijiye.


  • 2)Aur agar android 3.0 to 4.1 ho tab   sabse pehle setting me jana iske baad  developer option par jana aur wanha par usb debugging par tik kar dena.


  • 3) Aur agar android 4.2 or newer hai to - Sabse pehle setting me jana iske baad   about phone par jana  aur yanha par "build number" bale option par lagbhag 7 baar se jyada click karna jab tak ye likh kar na jaye ki you are under developer mode iske baad fir se setting me back aana aur ab  yanha par ek option mil jayega developer option ka is par jaana and  usb debugging par tik  kar dena.

Root karne ki step by step process with computer

Step:1) Sabse pehle aap RootGenius naam ke ek software ko download karna hoga ,aap ise neeche di gayi link se download kar sakte ho.
<< Download RootGenius for computer  >>


Step:2)
Download hone ke baad Root Genius ko apne computer me install karna hoga.
 


Step:3) Ab RootGenius ko open karna
 


Step:4) Iske baad usb cable ki help se apne computer aur android device ko connect karna.
 


Step:5) Ab jaise hi aapka phone computer me sahi se connect ho jayega RootGenius apne aap hi aapke phone ko show karne lagega apni homepage screen par.
 


Step:6) Iske baad RootGenius me dekhna  Root ki button ek button hogi simply Root par click click kar dena
 


Step:7) Ab root hone ki process start ho gayi hogi aur dekhte hi dekhte aapka phone root ho jayega ,jaise hi phone root ho jayega to ap apne phone me dekhna KingUser Application aa chuka hoga .Iska matlab hota hai ki aapka phone root ho chuka hai.

Ab aapki baari hai dosto aapne yanha bataye gaye tariko se kitna seekha hai ye aapke presense of mind par depend karta hai ,agar aapne ek ek step kayde se padha hoga to i am dame sure ki aapne Android phone ko root kar liya hoga ,agar fir bhi koi dikkat ho to aap mujhse coment karke pucch sakte hai

Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi share buttons ka prayog kar sakte hai.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.