2 best tarike Android Phone me lage pattern lock ko kholne ke

 Mere ek readers ne kal mujhe email kiya aur mujhse puchha ki kaise hum android smartphone ka pattern lock break kar sakte hai jisse ki mera phone pehle ki tarah use karne layak ho jaye.To mere mind me ek idea aaya ki mere ek reader
ko ye dikkat ho rahi hai lekin aise to kafi sare log honge jo is problem ka permanent solution chahte honge to fir maine decide kiya ki kyon na ek detail me article likhu hindi me jisse us person ki help to hogi Hi sath sath mere sabhi hindi readers ko bhi help mil jayegi .
 

Baise main is article ko English me pehle hi publish kar chuka hoon lekin aaj pettern lock crack karne bala article main apni matra bhasa hindi me post karne ja raha hoon.Jisko padhkar aap bina koi ek single rupay kharch kiye apne mobile ka pattern lock ya pin lock tod payenge.

To chalo aaj ka hindi tutorial start karta hoon ,aur sabse pehle batata chalu ki kaun kaun se method hum use karne ja rhe hai screen me lage pattern lock ko bypass karne ke liye.

  • 1. google accont ke jariye pattern lock ko unlock kaise kare.
  • 2.Factory reset karke pattern lock tode

1. Google Accont ki Help Se Pattern Lock Ko Unlock Kaise Kare.

Ye pattern lock ko reset karne ka sabse aasan tarika hai ,Ye to aap sabhi log jante hai ki jab bhi hum naya android phone kharidte hai to hume us par ek Google account banana padta hai ,Google account se matlab yanha par hota hai gmail account .Aur sabse badi baat to ye hai ki gmail account create karne karne ke baad aapko usko yaad rakhna chahiye . Jyadatar log gmail account badi hi asani se bana lete hai Par wo uski detail yaad nhi rakhte .
 

Aapke phone me jo gmail account hota hai wo aapke mobile ki administrator ke barabar hota hai ,aapko agar apni gmail id aur password yaad ho to aap uski help lekar apne mobile me lage pattern lock ko bahut hi easily recover kar sakte hai aur isse aapke mobile ka koi data bhi delete nhi hoga ,ye ek simple tarika hai jo khastaur par mobile me isiliye hi diya jata hai ki agar mobile user password ya pattern bhool jaye to bo gmail account ke through usko recover kar sake.
 

To chaliye neeche diye gaye kuchh steps ko follow kariye aur janiye apne android phone ki screen me lage pattern ko kaise change kare.
 


Step:1) Sabse pehle to aap pakka kar lijiye ki aapko apne mobile me jo gmail account dala hai uski detail maloom hai jaise gmail id aur uska password .Agar aapko password nhi maloom to aap gmail.com par jakar apna password change kar lena isse aapko apne account ki sari information mil jayegi.
 


Step:2) Ab aap apna mobile uthana jisme pattern lock laga hua hai .
 


Step:3) Iske baad aap apne phone me lagbhag 6-7 baar galat pattern type kariye .isse kya hoga ki aapke mobile ki screen par ek message show hone lagega jisme 2 buttons hongi ek next ki aur dusri try again ,simply next par click kar dena. 
 


Step:4) Jaise hi aap next par click karenge to aapke screen par 2 option milenge ki kaise aap patternlock ko recover karna chahte hai ,unme se ek option hoga ki aap kuchh security questions ka jabab dekar recover karna chahte hai  aur dusra option hoga ki gmail account ki information daal kar pattern lock ko change karna chahte hai ,to simply kya kariye agar aapne pehle se hi kuchh security question daal rakkhe the to simply  security question bala option choose kar lena aur sahi sahi jabab agar aapne de diye to pattern lock khul jayega ,aur  nhi to dusra option choose karna jisme gmail id aur password daal dena apna.
 

2 best tarike Android Phone me lage pattern lock ko kholne ke

Step:5) Jaise hi aap apna email id aur password daal kar sign in karenge aur aapne sahi sahi email aur password diya hai to kuchh der baad aapke samne ek new screen khulegi jisme aapko new pattern lock dalna hoga .


2 best tarike Android Phone me lage pattern lock ko kholne ke

bas ab kya aapka pattern lock successfully change ho gaya hai ab aap apne phone ko pehle ki tarah use kar sakte ho.

2.Factory Reset Karke Pattern Lock Tode

Ye method tab use karna chahiye jab aapke liye pehla method work na kare matlab aapke paas aapki email id aur password na ho .Baise aap kafi tariko se apne gmail id aur pasword ko pata kar sakte ho lekin unfortunatly agar nhi kar pa rahe ho to koi baat nhi aap is method ka use kar sakte hai is method me koi id aur password ki jarurat nhi padti hai .
Aap agar computer use karte hai to ye jarur jante honge ki hum computer ko boot kar sakte uski bios setting ko khol sakte hai windows ke load hone se pehle .isi tarah hum mobile ke sath bhi kar sakte hai aur android phone ko bhi load hone se pehle hum uski system setting tak ja sakte hai wo hum aage ke steps me dekhenge ki kaise android ko boot karte hai safe mode me.
 

Is method ki sabse buri baat ye hai ki aapka data jo kucch bhi phone me dala hoga bo pattern ko todte samay delete ho jayega aur aapka phone jaisa aaya tha khardite samaya baise ho jayega ,lekin haa ye yaad rakhna sirf phone ka data delete hoga na ki usme dale micro sd card ka data delete hoga.Micro sd card ka data ek dam safe rahega aapka usme koi problem nhi aayegi.
 

To chaliye dekhte hai kaise factory reset karte hai phone ko jabki usko hum open nhi kar sakte hai pattern lock ki wajah se.

Step:1)
Sabse pehle aap kya kariye apne mobile ko switch off kar dijiye aur uski battry ko hata dijiye ,iske 2 second baad battery ko fir se laga do  (Lekin abhi switch on mat karna)
 


Step:2) Ab aapko kya karna hai ki apne phone ki recovery mode me jakar phone ko reboot karna hai .Lekin sabhi companies jaise samsung ,micromax,htc etc phones ke recovery mode me pahuchne ke liye alag alag tarike hote hai ,kucch common componies ke tarike main neeche bata raha hoon dhyan se dekhiye aur ek ek word sahi se padhna nhi to recovery mode nhi khol paoge aap.
 

Samsung : Agar aapke paas samsung ka phone hai to Volume Up + Home + Power key teeno button ko ek sath dabaye rakhna hai lagbhag 10 second tak .(Agar aapke mobile me home ki button nhi hai to koi baat nhi simply volume up+ power key hi dabaye rahiye jab tak samsung ki logo screen nhi dikhne lage)
 

Note: Dhyan rahe pehle volume up button dabana iske turant hi baad jyada time mat lagana power button dabani hai.

HTC : Agar aapke paas HTC  ka phone hai to sabse pehle volume up key dabaye rahiye isko chhodna nhi  aur sath hi power key dabana usko bhi mat chhodna  dono key ko ek sath dabaye hi rehna hai  jab tak ki recovery mode show na karne lage

Note: Dhyan rahe pehle volum up fir power button dabana hai
Micromax : Agar aapke paas Micromax  ka phone hai to sabse pehle power key iske baad volume up ki iske baad volume down key teeno ko ek sath dabaye rehna jab tak ki recovery mode na aa jaye.
Note: Yaad rahe volume up ka matlab hota hai jis key se  hum gaane ki aawaj badhate hai
volume down ka matlab hota hai jis key se hum gaane ki aawaj kam karte hai
aur power key ka matlab hota hai jis button se hum apne mobile ka switch off kholte hai

 
2 best tarike Android Phone me lage pattern lock ko kholne ke

Step:3) Ab jaise hi aapke mobile ki recovery mode ki screen khul kar aayegi to aapko usme kayi sare option dikhenge .ab yanha par aapko agar upar jana hai to volume up key dabana aur agar neeche jana hai to volume down key dabana aur agar kisi option par jakar okay karna hai to iske liye  power button dabana hoga.
 



Step:4) Aapko is screen par  "Wipe Data/ Factory Reset" ya fir "Restore factory defaults" ya fir "Delete all user data " naam ka koi ek option milega ye aapke phone ki manufacturing par depend karta hai simply jo aapke phone me option ho us  par jakar okay karna hai power button dabakar.
 


Step:5) Iske baad kucch option honge usme se Reboot System Now ka ek option hoga us par jakar okay kar dena power button dabakar.
 


Step:6) Bas ab kya aapke phone ki rebooting process start ho jayegi ,isme thoda time lagega so aap ghabrana mat .
 

jaise hi process khatm ho jayegi to aap dekhenge ki aapke android phone se pattern lock puri tarah se hat chuka aur aapka phone bilkul naya jaisa ho gya hoga jaisa ki jab aapne usko kharida tha utna hi data bachega .

Ab aapki baari hai dosto ab aap yanha bataye gaye tariko se kitna seekha hai ye aapke presense of mind par depend karta hai ,agar aapne ek ek step kayde s padha hoga to i am dame sure ki aapne pattern lock ko kholne ka pura tarika jaan liya hoga ,aur aasani se