4 Tarike Kisi Bhi Tarah Ka Password Todne (Crack) Ke Jo Hacker Use Karte Hai

To chalo fir aapko batate hai kaun kaun se wo common attack hote hai jo password breaking me helpful hote hai.Main sirf method bataunga aur wo kaise work karte hai usse aapko kaise bachna chahiye ye bataunga na ki us attack ko karte kaise hai,kyonki ye totally
illigal hota hai ,iska misuse jyada hota hai isiliye main apne is blog par sab kuchh ethically hi sikhaunga taaki mere blog readers ko koi bhi bad insan nuksan na pahucha paye.

1. BruteForce Attack

Agar sach kahu to lagbhag sabhi password is method se koi ek hacker tod sakta hai,Ab aap soch rahe honge ki abhi maine upar bola tha ki agar aap sahi se spacial character use karte hai to koi bhi password nhi tod payega.To dosto pura sentence padhiye maine sirf ye kaha ki sabhi password bruteforce attack se toot sakte hai lekin kitni der me tootenge ye nhi bataya ,to aapko bata du ki agar aapke passowrd me simple character hai ,numbers hai albhabat hai to bruteforce attack se asani se aapka passowrd crack kar liya jayega lekin isme bhi kam se kam 1 ghante ka time lagega ,aur socho agar aapka passowrd strong hai usme spacial character jaise @#$%^& ka use hua hai to brute force attack se ye bhi password toot jayega lekin lagbhag 200 years me ,to aap samjh gaye honge ki strong password ko tod pana nearly impossible hai.

Baise is method me hota kya hai ki isme pehle se hi lambi list bani hui hoti hai random characters ki ,names ki,numeric combination ki,etc aur ye bari bari se sabhi combinations ko try karta hai ,agar koi bhi combination match kar jata hai to aapka password crack ho jata hai.Bruteforce attack kitne time lega ek password ko hack karne me ye computer ki speed aur password ki complexity par depend karta hai.

Aap is bruteforce attack se kaise bache?

Humesa ek achha aur strong passsowrd use karo jisme uppercase letters ho ,lower case letters ho,numbers ho,spacial character ho.Jiski todne me 100 kya 1000 years lag jayenge tab bhi nhi tootega.

for example:
password "iloveyou" ko koi bhi asani se bruteforce attack se tod dega lekin password 2#4DA00m ko todne me saalo ka time lagega. 

2. Social Engineering

password ka pata lagane ka ye bhi ek bahut hi popular tarika hai tabhi maine ise second position par rakha hai.Ye attack mere khayal se aapke upar  bhi ho chuka hoga,lekin aapko pata nhi chala hoga.Bas yahi pata nhi chal pana simple language me hota hai social engineering .Is method me hacker log kya karte hai ki maan lo unhe aapka pasaword hack karna hai to wo seedhe apse contact karenge via phone or email or sms etc aur aapse kahenge kuchh aisa kahenge jaise tumhari banking account me kuchh problem aa rahi ahi hume tumhara username aur password chahiye ,wo is tarike se aapse contact karenge ki aap un par sak hi nhi kar paoge aur wo bo badi hi asani se apse aapki hi informatio aapke hi munh se niklba lenge aur aap bata bhi doge.So dosto ab saavdhan rehna is tarah ke attack se.Hacker pata nhi kaun sa social engineering mind laga de aapka passoword pane ke liye,ho sakta jiske baare me aap kabhi soch bhi na paye wo aapse aisi information inklaba le . Baise jyadatar social engneering technique bank credentials ke baare me hi information nikalbane me use kiya jata hai.

Aap is attack se kaise bache ?

Simple hai dosto kisi bhi type ki call ,sms,email anything jo aapse kahe ki aap apni information batayiye hum ye ye bol rahe hai to please kabhi bhi koi bhi bana rahe kisi ko bhi apni banking detail or  other online account information nhi dena chahe kuchh bhi ho jaye,kyonki bank kabhi bhi is type ki call nhi karti hai jisme apse password puchh jaye So be careful about it.

3. Rats And Keyloggers

Rats and keylogger ko hum hackers ka sabse important hathiyar bhi keh sakte hai,inki help se bo kuchh bhi kar sakte hai,ek baar aap agar rat ya keylogger ke chakkar me fas gaye to fir aap ye maan lijye ki aap bahut loss me chale gaye hai.Rat aur keylogger ko main apne agle post me detail se bataunga ,filhal itna samjh lo ki hacker inka use password ko hack karne me karte hai,wo simply kya karte hai ki keylogger ko aapko send karenge kisi bhi mediam se ho sakta hai aapko email me send karke bhej de ,lekin agar aapne dhoke se bhi unhe install kar liya apne computer par to fr gadbad ho jayegi.Kisi bhi unknown ke mail se aaye kuchh application ya software ko kabhi bhi install nhi karna ,Agar aapne kar liya to iske badle hoga ye ki aapke computer ki sari information sabhi password ,jo bhi ap type kar rahe hai ,ye sab kuchh wo keylogger silently record karke hacker ko send kar dega aur fir aap kuchh bhi nhi kar sakte ho,yanhi nhi agar hacker aapke computer me trojan ko succefully inject kara deta hai to to aap soch lo bo ho jayega jo aap kabhi soch bhi nhi sakte hai,mera matlab keylogger to sirf humari information chura kar send karta hai balki trojan horse ek baar agar humare computer me install ho gaya hai kaise bhi to hum kya kar rahe kaun si movie dekh rahe hai ,aapke computer ko wanhi se band bhi kar sakta hai,aapke computer ki hard disk ko door baithkar hi uda sakta hai aise bahut se kaam trojan kar sakta hai ek baar install hone ke baad.Main is par detail me post likhunga jaldi taaki ap is type ke attack se secure rahe. 

In sabse apne aap ko kaise bachaye?

Achha antivirus install karke rakho,firewall on rakho humesa.Aur kabhi bhi kisi aise inssan se contact nhi karo jo aapko nuksan pahuchane ki kosis karta ho ,aur usko to apne computer ke paas bhatkne bhi mat do tabhi aap in sabhi attacks se bach paoge.Koi keyloger detecter software ka use karo ,virus detecter software ka use karo.Humesa security ke liye premium product ka use kiya karo jisse humara pc safe rehta hai Sabhi type ke khatro se.

4. Phishing techinque

Dosto ye technique itni popular hai ki lagbhag har 10 me se 8 log is technique ke sikar ho jate hai aur badi asani se apna password kho baithte hai.Main pehle bhi phishing pr bahut se artcile post kar chuka hoon.Lekin fir bhi bata deta hoon ki is technique me kya hota hai ki hacker kisi bhi website jiske user ka password hack karna chahta hai uska fake duplicate page banata hai jo same dikhne me original jaisa hi dikhta hai,aur use kisi webhosting server par upload kar deta hai jisse bo world wide me access karne ke liye taiyar ho jata hai.Hacker phishing link ko apne victim ko send kar deta hai ,aur agar uska victim kam knowledge rakhta hai aur is technique ke baare me nhi janta hai to wo sochta hai ye to orginal website hai lekin actual me kya thi hacker ke dwara banaya gaya fake page tha .Ab jaise hi victim us par password aur username daal kar login karega to wo sari detail hacker tak ek php script ke through pahuch jayegi jisse kisi ka bhi password hack ho sakta hai.

Apne aap ko kaise bachaye?

Maan lo aapka koi facebook account hack karna chahta hai,to wo hacker aapko facebook ka fake page send karega ek link (url ) banakar jo dekhne me bilkul same original facebook jaisa hi lagega.Lekin aap dhoke se bhi us par apni detial mat daal dena nhi to hack ho sakte ho.Mera suggestion hai ki jab bhi aap facebook ya gmail open kare to upar address bar me domain name jarur dekh le ,agar facebook khol rahe ho to upar address baar me dekh lo facebook.com saf saf likha hai ya nhi.Ek bhi word agar alag ho to kabhi bhi apni detail mat dalna .

Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,sabko secure kijiye galat logo se ,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi share buttons ka prayog kar sakte hai.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.
Aaj ke apne is post me main aapko un sabhi methods ke baare me bataunga jinka prayog karke hacker kisi bhi type ke password ko todne ki kosis karte hai.Aaj ka ye post aapko bahut kuchh sikhayega.Isilye is post kayde se padhiye aur janiye akhir hacker kya kya mind chalate hai aapke online/offline password ko hack karne ke liye.Baise ye to pakka hai jaruri nhi hota hai ki koi perticular password sabhi method se toot jaye ,ye bhi ho sakta hai ki koi bhi method work na kare aur ye tabhi hota hai jab aap apna dimag istemal karke ek achha password set karke rakho.Main aapko bata du agar aap apna password me achhe achhe spacial character ka use karte ho jaise ( %&#@ ! ) to koi bhi hacker aapka password nhi tod payega kisi bhi kimat par bhi nhi ,chahe bo bruitforce attack ho ya social engineering.