WinRar Ki Password Protected Files Ke Password Ko Kaise Crack Kare Aur password remove kare

WinRar Ki Password Protected Files Ke Password Ko Kaise Crack Kare Aur password remove kare

Aaj is blog par main aapko batunga ki akhir kaise Rar files me lage password ko kaise break kare aur uske andar ki files ko access kare . Bahut se log kabhi kabhi apna password bhool jate hai to unhe dikkat hoti hai fir kyonki wo apni files ko access nhi kar pate hai bina password ke ,to aise me jarurat padti hai thodi technical knowledge ki ,isiliye main aaj ye post share kar raha hoo jisse aap asani se zip file ka password tod denge .


Aap is post ko padhne ke liye yanha par aaye hai to ye to pakka hai ki aap ye jante honge ki winrar kya hota hai aur .rar files kya hoti hai .Fir bhi thoda bahut bata du taaki aapki knowledge aur badhe ,actually hota hai ki maan lo hume kayi sari files internet se download karni hai to aap kya karenge ek ek karke un files ko downoad karoge ,ek devolper the unhone ye problem face ki aur unhone socha kyon na kuchh aisa kiya jaye ye sabhi files ko kisi ek folder me dalkar seedha folder hi download karwa diya jaye to hume baar baar ek ek karke files download nhi karni padegi.Isi soch se janm hua ek software ko jisko aaj kal hum log WinRar ke naam se jante hai .
 

Winrar karta kya hai humari sabhi files ko ek sath archieve kar deta hai jisse ki ek fayda aur hota hai ki aapki maan lo 5 files thi jinka size 10mb ho to jab winrar ka use kar ke un sab files ko ek sath compress karte hai to iska size sirf 5-6 mb reh jayega ya isse bhi kam .Isi tarah bahut si website jin par hum badi badi files ,games ,software download karte hai to wo Zip files me hote hai Kyonki isse bandwith me kami aati hai aur unka server achha bana rehta hai aur sath sath hum logo ko bhi to fayda hota hai humra net kharcha kam aata hai.

WinRar me password ka feature

Humari winrar ki files ko bure logo se protect karne ke liye isme ek encryption ka feature dala gaya .Jab hum log files ko archive karte hai to hume ek option diya jata hai ki kya aap is archiev me password lagana chahte hai .Simply agar usme koi password laga dega to bina password ke usko koi khol nhi payega haalanki ab aap is post ko padhkar us password ko kholna seekh jayenge,lekin koi sadharan insaan nhi khol payega.
 

To chaliye jante hai kaise winrar ki files me lage password ko khole.

Step by step process 

Step:1) Sabse pehle aapko ek software download karna padega apne computer me uska naam hai WinRAR Password Genius ,Iski sabse badi problem hai ki ye software free me nhi hai isko kharidna padta hai, Lekin aap WinRAR Password Genius ka trial version download kar sakte ho ,trial version ko naap neeche di gayi link se download kar sakte hai 
 


<<Download WinRAR Password Genius>>

 


Step:2) Iske baad aap WinRAR Password Genius software ko open karna apne computer me
 


Step:3) Iske baad open button par click karna aur apni winrar bali file ko select karna jisme password laga hua hai.
 


Step:4) Iske baad side me kuchh attack diye honge jaise Brute-force, Mask, Dictionary and Smart ,koi bhi choose karna ,agar ek se pasword nhi toote to dusra attack choose kar lena.(neeche diya gaya screenshot dekhiye)

WinRar Ki Password Protected Files Ke Password Ko Kaise Crack Kare Aur password remove kare
ETT
Step:5) Iske baad start ki button hogi us par click kar dena.
 


Step:6) Ab aap dekhenge ki jaise hi aap start button par click karenge to process start ho jayegi zip file ke password ko todne ki ,aur dekhte hi dekhte aapke samne ek screen khul kar aayegi jis par aapke zip file ka password likha hoga saf saf.
 


Step:7) Ab aapko password to pata chal hi gaya hoga ,bas kya kariye ab us file ko kholiye jisme password mangte hai aur yahi bala password daal dijiye ,aur aapki .RAR file open ho jayegi bina kisi problem ke aur ap uske andar ki sabhi files ko dekh paoge.

WinRar Ki Password Protected Files Ke Password Ko Kaise Crack Kare Aur password remove kare
ETT