Asterisk (Star) ke peeche chhupe password ko kaise dekhe web browser me

Asterisk (Star) ke peeche chhupe password ko kaise dekhe web browser me

Jyadatar log jante honge ki jab hum facebook ya gmail account par login karte hai apne computer ke web browser se to hum log apna password agli login ke liye save kar dete hai lagbhag sabhi log yahi karte honge taaki unhe baar baar password na dalna pade,issse kya hota hai ki jab hum dobara se facebook ya gmail kholte hai to hum dekhte hai user name aur password bale box me pehle se hi aapka username aur password dala milta hai kyonki hum usko pehle se hi save kar diya tha jab pehli baar login kiya tha.Humara username to saaf saaf dikhta hai but humara password nhi dikhta hai wo hide rehta hai aur chhote chhote golo ke andar hide hote hai in chhote chhote golo ( stars) ko asterisk kehte hai .By chance kabhi kabhi kya hota hai ki hum apne friends ke computer use kar rahe hote hai aur uske computer se facebook ya fir gmail ka account open karne ki kosis karte hai to dekhte hai ki aapke dost ka password usme pehle se hi save hai to ab aapke dimag me kuchh ghanti bajegi aur sochenge ki kaas ye star dekhkar main iska password pata laga saku ,to don't worry main aapko bataunga ye kaise karte hai aur kaise asterisk ke peeche chhipe password ko dekhte hai aur pata lagate hai ki aakhir ye kya type kiya gaya hai password bale box me.
 


To chaliye jante hai ki ye trick kaise work karti hai aur kis tarah aap dusro ke computer me save password ko dekh payenge.

Step By Step Process Asterisk Password Dekhne Ke Liye 

Step:1) Sabse pehle aap computer me Mozilla firefox ya chrome open karna
 


Step:2) Iske baad jis account par asterisk dikhta hai us website ko open kariye jaise facebook par agar aapka password pehle se save hai aur asterisk (star) ke roop me dikhta hai to facebook.com open karna.
 


Step:3) Jaise hi aap facebook open karoge to aap dekhenge ki wanha par username me aapka username hoga aur password bale box me asterisk bala password hoga jisko aap nhi padh pa rahe honge.
 


Step:4) Simply kya kariye pure password ko select kariye apne mouse ki help se .
 

Step:5) Jab sabhi star select ho jaye to simply right click karna aur wanha par ek option hoga "inpect element" ka us par click kar dena
 


Step:6) Jaise hi click karenge inspect element par to aap dekhenge neeche kuchh coding ki screen khul kar aa jayegi is screen ko web browser ki firebug kehte hai.
 


Step:7) Ab aapko kya karna is coding me thodi si changing karni hai .
 


Step:8) Aap dhyan se code ko dekhna wanha apr likha hoga type="password" ab aapko isko thoda change karna janha par likha hai password us par double click karna to wo edit ho jayega aur uski jagah par likh dena text ab ye code aisa dikhega type="text"  


Step:9) Jaise hi aap ye changing karenge to aap dekhenge ki aapka password jo asterisk se hide tha ab normally dikhne laga hoga.Aur finally hum keh sakte hai ki humne password ko reveal kar liya hai.

Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahuch sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks aur hack la saku .....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.