Internet Se Related Kuchh Technical Word

Hum logo ka basic achha na hone ki wajah se kabhi kabhi hum koi deeply knowledge nhi le pate hai,hum log college ya schools me jate the to sabse pehle humse yahi kaha jata tha ki chalo pehle basic batate hai aaj students ko,kyon humare teacher
aise kehte the kyonki unhe padhane ke sath kaise padhna chahiye iska bhi anubhav tha.Aur ye to aap bhi maantehonge dosto ki agar ek baar kaise bhi humara basic mast ho jaye to fir to koi bhi badi baat badi aasani se samajh me aa jati hai,kisi ne kaha hai internet ek samundar hai jis par kabhi bhi koi cheej khatm nhi ho sakti hai ab chahe bo articles ke titles ho ya unke andar ka content.Lekin aaj ke is post me aap bahut kuchh seekhenge ye mera vada hai aapse ,bas aap meri ek request ke sath is post ko padhna start  kijiye,meri request hai ki aap is pure post ko apna tan man dhan lagakar padhiye ek ek baat ko notice kariye ,aap sab kuchh samjh jayenge kya ip address hota hai,website kya hoti kaise khulti hai,web browser kaise inhe mere samne khol ke rakh dete hai,kya proxy hoti hai kaise work karti hai ,proxy server kya hote hai,kitne type ke hote hai aur unke work kya kya rehte hai.Aaj bahut kuchh seekhnge aap bas sab kucch bade achhe se padhna yahi meri request hai aapse.
To chaliye sabse pehle start karte hai.

IP address kya hota hai?

Aapko bata du ki every computer ya mobile jo internet se juda hai uska ek apna ip adress hota hai.Actual me ip adress internet par computer ki pehchan hoti hai jis tarah election voting card hum logo ki pehchan hoti hai bilkul usi tarah.Ise aise samjha ja sakta hai ki jaise internet par aapke computer ka mobile no.ho aur aisa no. jis par internet se aapse contact kiya ja sake.Bina kisi computer ka ip adsress pata kiye hum internet par kisi bhi computer se connection nhi bana sakte hai.Ab to aap samajh gaye honge ki aapke computer ka ek ip address hota hai,aapke friends ke computer ka apna alag ip address hota hai.Yanha tak ki aapki favorite website ka bhi apna ek ip address hota hai.Aur aapko bata du kisi ip address ka formate kuchh is tarah hota hai for example 123.54.68.323
Aap ip adress 2 tariko se jaan sakte hai.

  • 1 . Aap apne computer ke web browser par jayiye aur url box me daliye www.whatismyipaddress.com ,jaise hi aap is website par jayenge upar hi aapko aapka ip address show karne lagega.
  • 2.Aur agar aapko kisi bhi perticular website ka ip address janna hai to iske liye maan lo for example google.com ka ip address janna hai to to simply apne computer me cmd (command prompt) open karna aur ye command type kar dena ping google.com iske baad enter ki button daba dena.Isse aapke computer par google.com ka ip address show karne lagega.Lekin dhyan rakhna ki main maan ke chal raha hoon ki aapke computer internet se juda hua hai mera matlab us par internet chal raha hona chahiye tabhi ye command work karega.

Domain Name Kya Hai?

Jaisa ki maine aapko upar bataya ki har ek website ka ek apna alag ip address hota hai.Reality Kya hai ki IP address  ko yaad rakhna thoda mushkil hota hai ye aap bhi jante hai aur main bhi janta hoon.Kyonki usme bahut sare numbers hote hai,jara sochiye ki aapko har baar apni koi favorite website kholne ke liye uska ip address apne web browser me dalna pade to ye apke liye bahut hi hard task hoga na.Isiliye hum loge ki subidha ke liye ek website owner na sirf apni website ka ek ip  address rakhta hai balki ek domain naam bhi rakhta hai.Domain name ko yaad rakhna bahut asan hota hai.
For example: www.facebook.com ek domain name hai.

Domain name system (DNS) looksup Kya hota hai?

Bilkul simple language me aapko batau to kisi domain name ko uske ip address me change karne ki process ko damain name system looksup kehte hai.Jab bhi aap jitni bhi baar apne web browser me kisi website ko kholte hai ,apka browser utni hi baar DNS looksup perform karta hai.Aapko bata du ki bina DNS looksup ke koi bhi web browser kisi  website ka ip address maloom nhi kar sakta hai aur na hi usse connect kar sakta hai.

Reverse DNS looksup kya hota hai?

Bahut hi simple hai reverse ka matlab hota hai ulta ye to aap bhi jante honge.Isilye agar upar bali definition dekhe to usko dekhkar hum asani se bata denge Reverse DNS looksup kya hota hai,simply IP address ko domain name me badalne ki process hi Reverse looksup kehlati hai.So dosto confuse mat hona .

DNS server kya hota hai?

Dhyan se padhna main kya kehna chahta hoon,DNS server wah server hai jo kisi browser ya upyog karta ki taraf se DNS looksup query (questions or prasn) ko dekhta hai aur unka jabab deta hai.Aam taur par aapke colleges compeny ya bade bade organistaion me apna khud ka ek DNS server hota hai.Jo local upyogkarta ki DNS looksup ki request ko dekhta hai.

HTTP ( hyper text transfer protocol) kya hoti hai?

Yeh ek sanchar protocol hai jise aam taur par aapka browser website ke sath sanchar karne me pryog karta hai.Isme bo sabhi niyam hote hai ,jinka browser kisi remote website se communicate karte samya palan karta hai.Http ka surakshit roop hota hai https ,yanha par s word ka matlab hota hai safe.Iska kaam hota hai ki kisi upyog karta ko website ke sath encrypted comminication banaye rakhna.

Port kya hota hai?

Simple shabdo me kahe to port wah dwar (Gate) hota hai jisse koi data apke computer me ghusta aur nikalta hai.Aam taur par diffrent computers ke beech me port ka kaam data transfer karna hota hai.Port 2 type ke hote hai.
  • Hardware port: Hum sabhi usb port,parellel port,ethernet port jaise hardware port ka istemaal karte haiInka samanya istemaal diffrent computer ke sath data transfer karna hota hai.


  • Virtual port:Aapke computer ke sabhi web application internet par kisi report server se sanchar karne ke liye computer par ek virual port kholte hai,bina virtual port ke aisa koi tarika nhi hai ki aapke computer ke aaplication internet par remote server se sanchar kar paye.Aapko agar apne computer par virtual post ki list dekhni hai to cmd me jayiye me aur netstat-n likh kar enter kare.Dhyan rahe agar aapko shak hai ki aapka computer hack hua ho chuka ya nhi to aap isi command ka use karke ye dekh sakte hai ki koi virtula port aisa to nhi hai jo aapke data ko renotly access karne de raha ho.Agar aisa ho to turant usko apne computer se hatane ki process start kar deni chahiye ,is par main kuchh dino me detail se post share karunga.

Website kya hoti hai Aur ye kaise open hoti hai?

baise to aap sabhi jante honge ki website kya hoti hai,aap jo ye post bhi ek website par hi padh rahe hai isi ko website kehte hai ,lekin aap jante hai ki koi bhi website jab khulti hai matlab jab bhi aap kisi website ka web page jaise ki yahi bala web page jo aap padh rahe ho meri website par ye kaise khulta hia actually me.Aap neeche ke step dekhiye samjh jayenge ki koi webiste akhir open kaise hoti hai uske background me web browser ke andar kya processing chalti hai.

Step:1) aapne apne web browser me koi website type ki aur enter kiya
 

Step:2) iske baad aapka browser us website ke server se connect karne ki kosis karega.
 

Step:3) ab jab us website ka server dekhega ki aapki request aayi hai to sabse pehle to apka ip address se aapke computer ki pehchan kar lega.
 

Step:4) aur fir website ka server us website ko aapke computer ki ip address me send kar deta hai jisse aapke computer ke web browser par  wo perticular website show hone lagti hai.

Proxy Server kya hota hai?

Simply bataye to proxy server wah sever ya software hota hai jo kisi upyog karta (yaani hum log) aur internet ke beech median ka kaam karta hai.Jb koi upyogkarta kisi proxy server ke paas kisi web page ko kholne ke liye request karta hai to proxy server us request ko us web page se sambandhit server ke paas bhej deta hai aur fir wo server uska jabab upyogkarta ko bhej deta hai,i think aapko upar ki lines fir se padhna chahiy taaki samjh sake ki main kehna chah raha hoon.
Acchha chalo upar batayi gayi process ko simply bana deta hoon taaki aapko aur achhe se samjh aa aajaye kyoni ye bahut hi important process hai jo aapko pata honi hi chahiye.
 

Step 1:) upyog karta kisi web page ko kholne ki request bhejta hai proxy server ke paas
 

Step 2: ) Proxy server us request ko us web page se sambandhit website ke server ke p aas bhej deta hai.
 

Step 3: ) website ka server fir us request ka responce bapas us proxy server ko bhejta hai.
 

Step 4:) Ab last me proxy server wahi responce (web page) upyogkarta (yaani hum log) ko bhej deta hai .

Isi wajah se hum proxy server ko beech me kaam karne bala (median) bolte hai. Haalanki internet par bahut se proxy sever hai lekin unem se kuchh hi achhe hai jaise unke naam main neeche apko de raha hoon.

  • 1 Web proxy or http proxy
  • 2 DNS proxy
  • 3 Socs proxy

Important Note:(must read)

Agar aap dimag laga sakte hai to lagaiye yanha par aapko kuchh sochne ki jarurat hai.Basically kya hoga ki ye proxy server humari pehchan chhupane ke kaam aa sakte hai internet par.Aap sabse pehle jo maine upar bataya tha ki website akhir kaise open hoti hai usko padiye,usme kya hota hai humara web browser seedhe us website ke server se connect hota hai jisse us server ko humare computer ka ip address maloom pad jata tha ,aur wo asani se hume intrente par pehchan leta tha,lekin ab aap yanha par dekhiye ki humara web browser seedhe seedhe website ke server se connect karne se pehle proxy server se connect karta hai tab kanhi jakar website ke server se connect karta hai isse kya hota hai ki website ke sever ko to yahi pata hota hai bas ki ye request kisi proxy sever se aayi hai naa ki apke computer se .Bas isi tarah hum apni pehchan ko internet par chhupa lete hai,yahi technique hacker log bhi use karte hai tabhi to itni asani se unhe nhi pakda ja sakta hai.Itna hi nhi agar proxy server chahe to kisi bhi webiste ko block bhi kar sakta hai,yahi karan hai ki humare college me kuchh webiste block hoti hai,aise hi unhe block kiya jata hai,Is par main aapko ek detail se post share karunga ki kaise proxy server se website block hoti hai aur kaise un block websites ko badi hi asani se khola ja sakta hai.

Aage main aapko ye sab bahut hi detail se bataunga apne alag alag articles meTo please is website se jude rahiye.Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi share buttons ka prayog kar sakte hai.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.