Apne Computer Par Khud Ka Ek Web Server Kaise Banaye Puri Process Jane Hindi Me

[[How to make your computer as a web server Full process in hindi]]  

Ye post thoda techincal hai kyonki sabhi log jante hai ki server ek technical word hota hai. Isiliye main aapko advise dunga ki pehle aap mere ye bala post padhiye internet se related kuchh technical words kyonki main
yanha par kuchh technical words use karunga to aapko koi confusion nhi hoga.Aap agar technology se pyar karte ho to aap itna to jante hi hoge ki sabhi websites ek web server se judi hui hoti hai,bina web server ke koi bhi website servive nhi kar payegi.Kyonki hota kya hai  ki jab bhi kisi website par koi content dala jata hai to uske liye hosting kharidni padti hai,yahi hosting agar aap hatana chahe to is post ke madhyam se hata sakte hai aur aapko kisi bhi website ke liye hosting lene ki jarurat nhi padegi,actually aisa aap kar nhi paoge kyonki khud ka server banane ke liye jaruri hota hai ki aapka computer permanent high speed internet se juda hua rehna chahiye jisme aapko kafi kharcha karna pad sakta hai.Lekin ye post sirf knowledge ke liye hai ki akhir kaise web server banaya jata hai aur normaly kisi web page ko internet se joda ja sakta hai.

Maan lo aap programming aur web developing seekh rahe hai to aapko baar baar kayi sare pages ko edit karna hota hai aur unhe baar baar web browser par check karna hota hai ki ab ye perticular page kaisa dikh raha hai,isiliye liye main aaj ye post share kar raha hoon ,iski help se aap asani se apne simple se computer ko ek web server bana lenge jiska naam aap aye din newspaper me ya kanhi sarkari jagah par sunte rehte hai ,aur tab hum confusion me pad jate hai jab bo kehte hai ki website ka server kaam nhi kar raha hai sahi se .To aap janenge ki server ko kaise banaya jata hai ,aur kaise use apne computer me install kiya jata hai aur kaise uski setting ki jati hai.

Server hota kya hai ?

Post me aage badhne se pehle ya pata hona chahiye ki akhir server hota kya hai.Chalo main aapko bilkul simple language me samjhata hoon.Jis tarah humara memory card hota hai jisme kafi sara data ,files,videos,mp3 dali rehti hai ,Aapko agar in files ko kisi dusre mobile me send karna ho to kya karenge ,yahi karenge ki aap ya to blutooth se send kar denge ya fir shareit ka use karenge ,ab maan lo koi dusri city me insaan baitha hai tab aapko ye files usko send karni hai tab kya karoge ,wanha tak to blutooth ya shareit ki bhi pahuch nhi hogi .Isi tarah humara server hota hai jisme kafi sare documents files dal sakte hai aur unhe internet ke through kanhi se bhi download ya fir dekh sakte hai.

Aur achhi bhasa me aapko samjhau example dekar ,Aap abhi mera ye article padh rahe hai ,kaise padh rahe hai ye article mere server par dala hua hai jisko internet ki help se aap wanha par baith kar padh rahe hai .Yahi hai server dosto.Server ki help se hum apni kisi bhi file ko internet ki help se acceable bana sakte hai jisko koi bhi insaan dekh sake.

Server work kaise karta hai?

Aapki knowledge ke liye main bata du ,jab bhi aap apne computer ya mobile me web browser open karte ho aur kisi website ka url usme dalte ho jaise maan lo mere is article ka url aapne browser me daala,to hota kya hai ki sabse pehle apka browser internet ki help se meri website ke server se contact karega ,aur ab mera server check karega ki jo aapne article kholna chahte hai wo server me dala bhi hai yaa nhi ,aur agar server ko bo article mil gaya to ab bo seedhe aapke browser se contact karega aur usko wo article de dega tab kanhi jakar aapka web browser us article ko aapke samne kholega.Itni lambi process hoti hai kisi bhi webiste ke open hone ki.Aur website ko khulne se roka bhi ja sakta hai kyonki server jab tak responce nhi dega tab tak koi bhi website kholi nhi ja sakti lekin maine kal hi ek post likha hia jisme maine bataya tha ki block websites ko kaise khola ja jata hai

Web page kya hota hai?

Is article ki aur knowledge lene ke liye ya aapka janna bahut jaruri hai ki web page kya hota hai,aap jo ye article padh rahe hai isko hi webpage kehte hai .Ye mera webpage mere server par dala hua hai tabhi aap isko padh pa rahe hai ,agar ye main apne server se delete kar du to aap ise nhi padh paoge.

Step by step kaise computer ko web server me convert kare?

Baise to sabhi steps bilkul simple se samjhayenge hum ,lekin fir bhi agar aapko kisi bhi step me kuchh dikkat aa rahi ho to puchh sakte ho,to chaliye aap neeche diye gaye steps ko sahi se follow kariye.
 

Step:1) Sabse pehle aapko ek software ki jarurat hogi jo aapke computer ko web server banayega ,Is software ka naam hai xampp ,Aap ise neeche di gyi link se download kar sakte ho.
 

<<Download xampp software>>
Step:2) Iske baad apko xmap ko install karna hoga iske liye sabse pehle xamp ki .exe file par double click kariye
 

Step:3) Jaise hi aap double click karenge to ek chhota sa box aayegaa jisme aapko apni language choose karni hogi simply english choose kar dena aur okay  par click kar dena.



Step:4) Iske baad welcome wizard khul kar aayega simply next par click kar dena.
 

Step:5) Iske baad aapko xampp server ki location set karni hogi ,iski default location c:/xamp hoti hai ,aap agar chahe to yahi location rakh sakte hai ya fir apni marzi se kanhi bhi install kar sakte ho,jab decide kar lo to wahi set kar dena aur next par click kar dena. 

 


Step:6) Iske baad install par click kar dena.
 

Step:7) Iske baad ek screen khul kar aayegi jisme aapse puchha jayega ki aap kaun kaun se feature run karna chahte hai ,aap chaho to ise aise hi khali chhod do kyonki in sabhi features ko hum aage manually start karenge aap sirf next par click kar dijiye.
 

Step:8) jaise hi aap install par click karenge to xamp server install hone lagega iski processing aapko screen par dekhne ko milegi,kucch minuts lagenge isko setup hone me aapko thoda wait karna hoga bas.
 

Step:9) Ab bas processing khatm ho gyi hogi and aapke computer me xampp software successfully install ho gaya hoga.aur jaise hi processing khatm hogi to ek chhota sa box aayega jo aapse puchega ki kya aap xampp run karna chahte hai simply yes par click kar dijiye.
 

Step:10) aapko ab ek chhoti si window screen milegi ,jisme aapko server ko run karna hoga,aap simply apache server and mysql ko run kar dijiye wanha di gayi start button ki help se.
 

 

Step:11) Ab aapke me xampp install ho gaya hai,and aapka computer ek web server ban chuka hai,ab aap kya kariye apna web browser open kariye and url address baar me likhiye http://localhost/xampp  aur enter kijiye aape agar sabhi steps sahi se follow kiye honge to aapko successfull installation ka message mil jayega.

Ab apne web pages ko kaise web server me daale

Apka computer ab web server ban chuka hai,and ab aap chahte ho koi page ya code jaise html code,php code etc bali file web browser me open karni hai ,to iske liye aapko wo pages xamp ki directory me daalni hogi.Iske liye aap sabse pehle xampp server ki laction me jana janha par apne ise install kiya tha ,baise by default ye c drive me install hota hai jakar.iske baad xampp folder me jana aur yanha par ek folder hoga htdocs ke naam se yahi folder aapki main directory hoti hai jisme aap kuchh bhi daal sakte ho aur usse internet se access bhi kar sakte ho.

Apne web pages ko internet ke through dusre computer ya mobile par kaise access kare.

Aap apne computer ke web server me kuchh dale ho to abhi tak sirf aap hi use access kar pa rahe hai koi dusra insaan chahe ki wo apne mobile par aapke server par dali kisi cheej ko padh le to wo aisa nhi kar payega kyonki ye server sirf aapke liye hai abhi tak,lekin ab aapko isko sabhi ke liye banana hai to thodi setting karni hogi. I hope dosto ki aap iska matlab samjh rahe honge.Maan lo apko koi web page apne computer me dalna hai aur aap chahte ho ki yahi web page kisi dusre desh me baitha ya kisi dusre city me baitha koi insaan internet ke through access kar paye .Yahi to hota hai agar aap server ke baare me thoda bahut bhi jante hoge to meri baat samjh gaye honge otherwise apko thodi dikkkat ho rahi hogi main samjh sakta hoon lekin jaise hi dheeme dheeme aap aap aur padhoge to aapki knowledge badh jayegi aur aap chheeje samjh jayenge sabhi.
To chalo dekhte hai kaise internet ke through kanhi se bhi aapke computer ki files ko access karte hai.
 

Step:1) Sabse pehle xampp folder me jana ,yanha par ek folder hoga apache isme jana fir iske baad conf folder me jana ,yanha par ek file hogi jiska naam hoga httpd.conf isko notepad ya notepad++ par open karna.
 

Step:2) iske baad isme search karna Controls who can
 

Step:3) Ab iske neeche dekhna likha hoga deny from all to iski jagah kar dena allow from all aur isko save kar dena.
 

Step:4) Ab aapka computer ek web server to ban hi chuka hai iske sath sath ye server internet se bhi connect ho sakta hai kanhi se bhi,to simply kya kariye sabse pehle is website par jayiye whatismyipaddress.com aur yanha se apni ip address note kar lo.
 

Step:5) Ab maan lo aapko kuchh files jaise index.html ya ajay.php etc koi si bhi file internet se jodni hai to aap sabse pehle apne xampp ki location me jayiye jo c drive me hoti hai ,yanha par ek folder hoga jiska naam hoga htdocs isi folder me apni files daal dena jo apko internet ke through dusre computer ya mobile me khulbani hai.
 

Step:6) Ab kya kariye simply jo ip address apne step 4 me note kiya tha usko apne web browser ke url address baar me daliye to ap dekhenge ki aapki files show ho rahi hongi jo aapne abhi abhi xampp folder me dali thi. 

Step:7) Ab aap bas yahi ip address kisi ko bhi de do jo kanhi door baitha hai ,wo jab ye ip apne computer ya mobile me dalega to wo seedhe aapke server se connect hone ki kosis karega aur agar aapka server internet se conect hoga mera matlab aapka computer internet se connect hoga to usko jo door baitha hai aapki ip address se hi wo files wanhi par show hone lagengi.

Ye ek lamba topic hai jisko main ek article se nhi samjha sakta hoon, main is par aur post karunga jisse aap sahi se is kaam ki knowledge ko sahi se samjh payenge.
Agar aapko kuchh bhi puchha ho is topic se realted ya koi jankari chahiye ho to aap bejhijhak puchh sakte ho comment karke.


Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks aur jankari la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi shar buttons ka prayog kar sakte hai,aapke 1 minute kafi hai meri site ko share karne ke liye.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.