Pendrive Ko RAM Ki Tarah Kaise Use Kare Apne Computer Me

Pendrive Ko RAM Ki Tarah Kaise Use Kare Apne Computer Me 
(Tutorial on How to increase the size of RAM in hindi )

Hello dosto aajke is post me main aapke liye ek intrested trick lekar aaaya hu jiski help se aap apne computer ki RAM ko increase (Badha)  sakte hai aur bo bhi bilkul asani se.Ab aap soch rahe honge aisa kaisa mumkin hai RAM to sabhi computer ke cpu me pehle se hi lagi hui aati hai usko kaise badha sakte hai ,yanha par aapka sochna sahi hai lekin aapke information ke liye bata du ki ye possible ha ki aap apni RAM ko badh sakte ho bo bhi apni usb pendrive ki help se.Aaj main is post ke madhyam se aapko isse releted sabhi jankari dunga jisse aapki knowledge me increment hoga ,aur aap aur achhe se hacking seekh payenge ,baise to ye koi hacking nhi hai lekin main kafi dino se hacking ke hi article post kar raha tha to socha ki aaj kuchh different batatehai apne website viewers ko yaani aaapko.Agar aap computer me thoda bahut bhi expert hai to aap ye jante hi honge ki RAM jyadtar 2gb,4gb ki lag kar aati hai cpu me ,Ab aap sochiye ki RAM kaise useful hoti hai kisi bhi computer ke liye ,maan lo aapne kafi sare software apne desktop me install kar liye hai aur aapki computer ki RAM hai 1gb ya 2gb to aise me problem ye hogi ki aapka computer hang karne lagega aur uski speed pehle se bahut jyada down ho jayegi Ab jab hume memory ki jarurat padti hai RAM me tab hum sochte hai ki kaas hum apne computer ki RAM badha pate ,to dosto aap bilkul badha payenge ,aap is blog par aisi hi tricks ko seekhne ke liye to aaye hai . To chaliye aaka time naa lete huye apna aaj ka article ka main part start karta hoon isme main aapko pura tarika samjhaunga bo bhi ek dam clear step by step way me.Bas aapse request hai is website me bataye gaye sabhi steps ko sahi se achhe se padhkar follow kariye ,nhi to aapko trick sucess karne me dikkat aayegi.Aur ye mera daava hai aapse ki agar aap ek ek step ko agar sahi se follow karte jayenge to galti ka koi saval hi paida nhi hota.

Kis kis cheej ki jarurat padegi aapko?

  • 1.sabse pehli baat to aapko jarurat padegi ek pendrive ki minimum 2 gb
  • 2.Thodi si computer knowledge ki
  • 3. 5 minute ka time
  • 4.Aur last ek computer ki (lol just joking)

 Pura Tarika Step By Step Computer Ki RAM Badhane Ka

jaisa ki hum jante hai agar hum RAM ko kharidne jate hai usme achhi money lag kharch ho jati hai aur maan lo aapke paas itne rupay nhi hai tab kya karenge, Isi situation ko dhyan me rakhkar main neeche sabhi step provide karne ja raha hoon jisse aap free me apni RAM ka size badha sakte hai.

Step:1) Sabse pehle to aapko jarurat padegi ek pendrive ki wo bhi achhi quality ki ,agar aapke paas nhi hai to aap usko market se kharid sakte hai itna to kharch kar hi sakte hai aap.Aur ye yaad rahe ki pendrive ka size 1 GB se kam nhi ho ,baise  agar aap mujhse puchhenge ki kitni sizeka pendrive use kare to main to aapko yahi salah dunga ki aap agar ho sake to 4GB KI Usb pendrive ka hi use kare .
 

Step:2) Ab main maan kar chal raha hoon ki aapke paas achhi quality ki pendrive hogi 4GB ki ,to bas karna kya hai us pendrive ko apne laptop ya computer me lagayiye .
 

Step:3) Iske baad aap my computer ka jo icon bana hota hai aapke desktop par us par right click kariye aur properties par jayiye.
 

Step:4) Iske baad Advanced system setting me jayiye aur fir yanha par advance ki tab khulegi aur yanha par aapko Performance Setting bale option ke aage jo setting likha hoga us par click karna hai.
 

Step:5) Iske baad fir se Advanced setting me jayiye aur fir neeche side dekhna likha hoga Change is par click kariye.
 

Step:6) Jaise hi aap change par click karengi to ek new window khulegi ,isme aapko apni pendrive Select kariye .
 

Step:7) Jab aap pendrive select kar lenge to Iske baad aapko wanha par Custom Size ka option hoga us par click karna hai.
 

Step:8) Jb aap costom size par click karenge to wanha par aapko 2 box dikhenge usme aapko kitni RAM badhani hai jaise 3000 mb ya isse jyada ya kam aap wanha par daal do bas ab iske baad OK par click kar do.

Ab aapko apne system ko restart karna hoga ,jab aap apne computer ko restart karke fir se open karenge to  dekhenge ki aapke computer ki RAM badh chuki hogi lekin yaad rahe ab is pendrive ko agar aapko nikalna hai to aise direct mat nikalna Nhi to pendrive kharab bhi ho sakti hai ,isko hatane ke liye aapko shuru se lekar end tak same process apply karnni hogi aur pendrive ko unselect karna hoga Tab kanhi jakar aap isko nikalna apne computer se.
 

Maine aapko yanha par  woking trick  batayi hai agar aap is  tricks ko sahi dhang se follow karoge to  apke computer ki RAM aap asani se badhane me safalta haasil kar loge.Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahuch sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kajiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks aur hack la saku .....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.