Learn online Full Ethical Hacking Course In Hindi Step By Step learning

Hacking kya hai kaise usko use kiya jata hai ,kis tarah hacker accounts hack karte hai,aur kyon karte hai unhe isse kya fayda hota hai,savaal kafi hai but jabab bahut kam hi log jante honge kyonki internet par aisa koi bhi post nhi jo hume all about  ethical hacking in hindi ke baare me puri detail se bataye wo bhi apni matrbhaasa hindi me,kyonki bahut se log aise hote hai jo hacking seekhna to chahte hai but is language ke chakkar me bo himmat haar jate hai kyonki bahut se logo ko english me samjhne me bahut problem hoti hai ,aapko kya jab main bhi is field me new tha to mujhe bhi bahut dikkat hoti thi.Main yanha par aapko ethical hacking book hindi provide nhi karane bala balki puri information isi post me dunga.Lekin ha kuchh dino me main yanha ethical hacking books hindi pdf jarur upload kar dunga.

Lekin ab aisa nhi hoga Aaj maine decide kiya hai ki aapko ek long post provide karau jisme aapko wo sari information du jo ethical hacking se related hai ,agar aapne is pure post ko ek baar padh liya aur isko sahi se apne dimag me daal liya to ye samjh jayiye ki aap ek achhe hacker ban chuke hai ,hacker banna koi asan kaam nhi hai but usko agar sahi se samjhaya jaye to wo bhi aur subjects ki tarah simple hi lagega.Aise hi main lekar aaya hoon aapke liye ek full detailed ethical hacking cource in hindi.


Ethical Hacking full course in hindi Ke Topic Jo Aap Iss Post Me Seekhenge

Sabse pehle aapko ye janna bahut jaruri hai ki aap is long describe post me kya kya seekhnge aur kya kya ethical hacking ke under me aata hai,main bo sabhi topic neeche bata raha hoon jo aapko is post ko padhne ke liye majboor kar sakte hai ,kyonki hacking seekhna ki chah bahut hi jabradast hoti hai 


  • Part -1) Hacking kya hai aur hacker kya hota hai ?
  • Part -2) website hacking ke baare me knowledge
  • Part -3) Email hacking (Gmail,yahoo,rediff etc) ,Facebook hacking
  • Part -4) Mobile hacking
  • Part -5) Reverse engineering (Software hacking)
  • Part -6) Web Apps hacking (Targeting online apps and games)
  • Part -7) Malware attack ,Trojan and Virus ,RAT,Worm kya hota hai detail me janenge.
  • Part -8) Windows hacking bhi seekhenge (admin password crack karna,Bios password crack karna,password recovery technique,bypass antivirus security,joiner,splinter,system cleaner)
  • Part -9) Wireless hacking (wifi hacking bhi seekhenge)
  • Part -10) Concept of virtualization (Ek hi computer me 2-3 operating system chalana)
  • Part -11) Proxy servers ki detail me knowledge
  • Part -12) Penetration tesing (Vulnerability find out karna)
  • Part -13) Khud ka web server kaise banaye hacking ke liye
  • Part -14) Main aapko sabhi spacial software bhi dunga jo hacking se related hote hai mere paas puri hacking tool kit hai sabhi important software bhi hai aur wo internet par itni asani se milte bhi nhi hai.

To chaliye start karte hai aur ek ek karke sabhi topic ko discuss karte hai aapke samne ,mujhe pura visbas hai aapko ye post baaki ke sabhi posts se jyada pasand aane bali hai kyonki is type ka post internet par hindi languauge ke readers ke liye uplabdh nhi hai.Isi baat ko dhyan me rakhkar main ye post kar raha hoon ,mere bahut se readers ne mujhse request ki thi is type ki post ki to aaaj main wo sab kuchh share karunga jo main janta hoon.
 

Part 1  (Concept Of Hacking)

Hacking kya hai aur hacker kya hota hai ?

Ye word hacking historical hisab se dekha jaye to inaccurate hai kyonki purane computer ke dino me jo bahut hi high level ki working karte the apne computer par aur internet par unhe hacker kaha jata tha . To is section me aap janenge meaning of ethical hacker ,Ye log jo hote hai wo kisi ke bhi system ko access karne ke liye kuchh na kuchh seekhte rehte the aur apne comptitor ko chalange karte rehte hai ,isi chalange karne ki wajha se unhe hacker kaha jane laga.Haalanki wo hacker log ye sirf fun aur enjoy ke liye karte the.Hacker ka asali kaam hota hai ki kisi information ko chura lena jo kisi dusre computer me dali ho bo bhi bilkul chalaki se koi jaan bhi na paye.Yhi hacking hai ek tarike se.Actual me hacking kya hoti hai isko hum kuchh points se samjh sakte hai jo neeche diye gaye hai lekin real me hacking aur cracking ka thoda milti julti working hai aap khud samajh sakte ho.

  • 1. Kisi ke system ko break karna ab bo chahe kisi bhi network se juda hua ho.
  • 2. Kisi computer ke sabhi password bypaas karna (crack karna ).
  • 3. Kisi bhi software ya program ka licences ko bypaas karna.
  • 4 Kul milakar kahe ki kisi system  ki sabhi security ko crack kar dena yahi hacking hai dosto.

Hacker kaun hote hai?

Hacker koi kharab word nhi hai bas ye depend karta hai ki wo apni knowledge ko kis tarah use karta hai ,baise sahi kahe to hacker ek highly talented insaan hota hai aur ek hacker banne ke liye bahut kuchh sekhna padta hai.Bahut se hacker aise hote hai jo apni knowledge ko government ki help karne ke liye daan de dete hai aur kuchh to aise hote hai jo government ko hi chunauti de dete hai.Aapko jankar achha lagega ki wo ek hacker hi tha jisne www( world wide web) ki khoj ki jisne internet banaya ,aur jisne google,facebook jaisi site banayi,hacker ka matlab koi bura kaam karne bala nhi hota hai ,hacker ka matlab hota hai apne talant ko duniya ke samne show karna aur duniya ki help karna .Hacker ka sabse manpasand UNIX operating system bhi hacker ki hi den hai .  

Ab agar future me aap bhi kuchh aisa karte hai jisse duniya ki help ho aur apni knowledge ko sabke sath share karenge to aap bhi ek achhe hacker kahe jaane lagenge.Aur main visbas karta hoon aapke upar ki aap ek din ek achhe hacker bane aur apne desh ka naam rosan kare yanha ki government ki help karke aur apni country ki security ko majboot banane me apna yogdaan de.

Cracker kaun hote hai?

Kuchh logo ka ek group jo sirf kisi ke password crack karne ki kosis karte rehte hai aur tarah tarah ke method apply karte hai aisa karne ke liye kanhi rambo table se to kanhi dictionary attack se unhe cracker kaha jata hai ,ye naam khud hacker logo ne diya hai unhe cracker kaha jaye naa ki hacker , Jo real hacker hote hai wo cracking karne bale crackers ko achha nhi samjhte hai kyonki wo log kisi computer ki security ke sath khilbaad karte hai aur uske password crack karne ke liye koi na koi ek method ko create karte rehte hai ,isiliye jo ek achha hacker hoga wo kabhi bhi cracker ko pasand nhi karega kyonki wo logo ki bhavnaao ke sath khelne ki kosis karta hai.

Hacker logo ka manna hota hai ki ek achha hacker method banata hai aur cracker un methods ko crack karne ki kosis karte rehte hai.

Hacking aur hackers ke type 

Ab aap ye to samjh gaye hoge ki hacker kaun hote hai aur hacking kya hoti hai lekin ab hum janenge ki hacking ke prkar kaun kaun se hote hai ye janna bahut jaruri hai agar aap hacking seekhne ja rahe hai.

Black hat hacking : Jaisa ki maine aapko upar bataya tha ki ek achha hacker kharab hacker ko cracker kehte hai yahi cracker hi black hat hacking ko anjaam dete hai aur inhe blackhat hacker kaha jata hai.


White hat hacking : White ka matlab hi hota hai "Good" ,jo log apni knowledge ka istemal sahi ke liye karte hai jaise maan lo aapka account kisi ne hack kar liya hai to ab baari aati hai us insaan ki jo aapka account recover kar le usi insaan ko white hat hacker kehte hai aur uske dwara ki gayi hacking ko white hat hacking kehte hai.
 

Gray hat hacking : Is type ki hacking black hat hacking aur white hat hacking ke beech me hoti hai.Gray hat hacker kabhi bhi apne liye hacking ka use nhi karte hai matlab kabhi bhi apne matlab ke liye kisi ko nuksan nhi pahuchate hai.Wo sirf badi badi organisation me aayi kami ya chhoti si bhi company me aayi security ka anlysis karte hai aur kami ka pata lagane ki kosis karte hai.To is hisab se inhe ek white hat hacker bhi keh sakte hai.

Aap Kaise Ek Good Ethical Hacker Ban Sakte Hai?

Ek achha hacker banne ke liye aapko main kuchh point bata raha hoo us par gaur karna chahiye .
  • 1. Aapko computer ki programming language me expert hona chahiye aur networking ka achha gyan hona chahiye.
  • 2. Aapko vulnerability ke baare me aana chahiye ye kya hoti hai aur kaise vunerablity research karte hai baise main aage post me aapko sab kuchh bataunga .
  • 3. Aapko internet par hacking se related article or tutorials padhne chahiye isse aapki knowledge aur bhi badh jayegi.
  • 4.  Aap jab programming language seekh jao to apne aap se hi apne khud ke code design karne ki kosi karte rehna chahiye ye sab aapko bilkul asan lagne lagega jab ek baar aap is field me enter ho jaoge to.
  • 5. Aapko operating system ki achhe se study karni chahiye yahi nhi ki aap sirf windows os ka use kare janha tak ho sake to aap unix ka use kare aur isko seekhne ki kosis kare kyonki hacker ka best os hai ye ,iske sath sath aapko linux aur backtrack ke baare me padhna chahiye,main iske baare me aage bataunga aapko.
  • 6. Tarah tarah ke software internet se download karke unka use karna seekhna chahiye aur ek baar aap software ka use karna seekh gaye to cheeje aapko asan lagne lahengi ,kyonki softare ke bina hacking kuchh bhi nhi hai.
Ab aage badhne se pehle aapko ye janna jaruri hai ki server kya hota hai ,kaise banate hai,ip address kya hoti hai,dns server kya hota kaise work karta hai aur bahut se internet se related techincal word jo aapko janne chahiye uske liye maine ke alag se article likha hai aap us post ko padh lijiye jiska title hai internet ke kuchh technical words par jakar.
Website hacking seekhne se pehle aapko janna bahut jaruri hai ki website kya hoti hai kaise

Part 2  (Website hacking)

work karti hai kyon work karti hai aur uski sari information jab tak humare paas nhi hogi tab tak hum kisi bhi website ko hack nhi kar sakte hai.To sabse pehle hume agar kisi bhi website ko hack karna hai to uski sari informatin ko collect karna padega ,aap agar soch rahe hai ye sab bilkul simple hota hai to aap galat soch rahe hai jitne bhi article internet par maujood hai wo sab bekar hai kyonki wo readers ko puri information nhi provide karate hai aur isse user paresan hote hai,lekin haa dosto aga aap yanha par bataye gaye sabhi words ko sahi se man aur dhyan lagakar padhoge to sab kuchh seekh jaoge kyonki main ek ek baat ko aapko bata kar chal raha hoon.

jitna jo kuchh bhi abhi upar bataya part 2 me usko foot printing kehte hai ,matlab kisi ke liye pehle se hi radneeti banana hi to foot printing kehlati hai.To kisi bhi website ki information kaise find out kare iske liye neeche kuchh point de raha hoon main aur kuchh method bhi bataunga.
 

1. Whois lookup
2.Ns lookup
3. Ip Lookup 


1. Whois Lookup

Kisi bhi domain ki agar hume puri information chahiye to bo hume sirf whois database me hi mil sakti hai kyonki is data me lagbhag sabhi domain or websites ki information save kar li jati hai ,ye ek authoritative data hota hai jo humari government ke liye badhya hoti hai.Agar humari government chahe to kisi bhi website ka data dekh sakti hai but legally not illegally.Itna to jante hi honge ki website ka database hota hai aur uski kuchh information hoti hai to usi information ka pata lagane ka sabse achha tarika whois lookup hi hota hai.
Ab baat aati hai kaise information nikale kisi bhi website ki to aapko bata doon ki agar aap linux user hai to ye bilkul asan hai sirf aapko command prompt par whois website name.com likhna hoga aur enter hona hoga,isse sari information aapke samne hogi.


Aur agar aap windows user hai to jaan le ki ye feature windows os me nhi diya gaya hai ye sirf linux me hi hai ,lekin aisa nhi hai ki windows user whois dekh nhi skate kisi bhi website ka .Apko whois ki persional aur official website par jana hoga aur apna domain name dalna hoga to wo aapko sabhi information de dega.
 

2.Ns lookup
 

ye bhi ek tarah ka tool hai jo kisi bhi website ke domain name server se aayi sari information ko aapke samne show kar deta hai.Sabse achi baat to ye hai ki dono linux and windows operating system me Nslookup client inbuilt hai.

ye kisi bhi website ka mx record aur uske server ke ip address ko bhi reveal kar deta hai.maaan lo aapko kisi bhi site jaise  pop3.comcast.net ki information chahiye to apne black color ki command prompt (CMD) par jayiye aur ye command daliye nslookup pop3.comcast.net ,isse kya hoga aapke samne uski sari information aa jayegi jaise main neeche de raha hon kya kya aapko pata chal jayega.Aur yad rahe ki cmd administrator mode me open karna.
 

server: cnss3.woodstock.ge.altana.comcast.net
ip address: 11:56:26:267
Name : www.Yahooht-2.akadns.net
Address: 23:56:46:987
Aliases : pop3.comcast.net
3. Ip Lookup
 

Aapko batata chalu ki sabhi machines ki apni ek ek perticular TCP/IP hoti hai ab chahe wo computer LAN se juda ho ya fir WAN se sabki ek ip hoti hai jisme bahut kuchh information chhupi hoti hai .To ip lookup kya karta hai ki pehle domain ki ip find out karta hai aur iske baad us ip ki jankari aapke samne show kar deta hai jisse aapko kisi bhi website ke ip ki puri jankari haasil ho jati hai.

Internet par aisi bahut si websites aur tools  hai jo ip address ki sari information provide kar dete hai.jaise kucch ke naam me neeche bata raaha hoon.

http://www.ip-details.com
http://www.network-tools.in
http://www.ip-adress.com/ip_tracer
Aap apne windows ya fir linux computer me bhi ip ki details pa sakte ho iske liye neeche ke 2 point dekhiye.


  • 1. agar aap windows computer use kar rahe hai to sabse pehle command prompt(cmd ) open karna iske baad ye command dena tracert <ip adress> aur enter karna ,dhyan rahe aapke computer par internet connetion hona chahiye tabhi ye command work karega.
  • 2. Agar aap UNIX (include linux and OS X)  use kar rahe hai to ye shell open karna aur ye command  enter kijiye traceroute <ip>

Baise aur bhi kayi tarike hai kisi bhi website ki detail nikalne ke liye jaise uski social profile facebook par ya google + ya twiter par and uski contact us page se uski detail nikaliye,fake call karke uski detail find out kar sakte hai,fake email karke bhi juchh hasil kar sakte hai,Google digging ka use karke bhi kuchh pata lagaya ja sakta hai.

Ab aap kisi bhi perticular website ke baare me kafi kuchh jan sakte hia upar diye gaye methods se,abhi aapko lag raha hoga kyon aisa karne ki jarurat hai aapko lekin jaise jaise  aap cheeje samjhne lag jayenge baise baise aapko in sab ki jarurat bhi padti jayegi fir aap samjh jayenge ki main ye sab kyon bata raha hoon.


Ab aap kafi kuchh sekh chuke hai website hacking se related ab bari aati hai kaise hacker log tools ka use karke website ko hack karne ki kosis karte hai. website hack kaise karte hai ye janne ke liye mera pichla post padhiye jisme maine aapko samjhaya ki kaise website ko hack kiya ja sakta hai ,aur haa ye janna bahut jaruri hai sabhi websites ko hack nhi kiya ja sakta hai ,sirf unhi ko hack kar sakte hai jo vunerable ho,jis par sql attack technique lagayi ja sake.Ap wo post is link par jakar padh sakte hai website kaise hack kare.

Aaj ke liye itna hi kafi hai ,main jaise jaise is post ko aur likunga baise hi isko update karta jaunga kyonki ye ek bahut bada post hai isiliye aaj ke liye part 2 tak kafi hai agli baar fir aapko batata hoon iske aage ki kahani part 3 and part 4 tab tak ke liye is website www.extratipstricks.com se jude rahiye .Aur haa dosto agar aap meri mehnat ka fal mujhe  dena chahte hai to is website ko facebook ya whatsapp ya fir google,twitter par share aur like karna na bhuliye isse meri bahut help hogi ,and thoda achha bhi lagega aage is post ko aur intrested banane ke liye.Thank you.

          ....    coming soon part 3  ....


Note: Iss post ko start karne se pehle aapse request karta hoon ki aap is post ko pura padhna kyonki ye ek bahut lamba topic hai ye to aap jante hi honge isiliye is post kafi lamba ho jayega.Isko likhne me mujhe kafi mehnat karni padi hai isiliye request karta hoon isko pura padhiye aur ethical hacker banne ki kosis kare.Is article se aap bahut kucch seekhne bale hai.