Aisa
koi android user nhi hoga jo Google play store ko nhi janta hoga kyonki
ye hume bahut hi behtreen apps provide karata hai jo humare android
phone ko use karne ka najariya hi change kar dete hai.Aaj main aapko Is
play store ki kuchh tricks bataunga jo aapke liye bahut faydemand hongi
aur ho sakta hai inme se bahut si trick aap jante bhi nhi hoge.
Baise
to google ne hume straight forward traika provide kara raha hai jo ek
simple sa insaan bhi use karna janta hai ,lekin hum log aaj kal advance
ho gaye hai to kuchh new janne ka pryas karte hai to chaliye jyada time
na lete huye seedhe apna aaj ka article start karta hoon jiska title hai
google play 10 ki kuchh saandar tricks
Aap aisa vpn software ki help se kar sakte hai ,vpn to aap jante hi honge virtual private network .Kisi achhe vpn software ko download karke install kar lo apne phone me .Vpn software me ap asani se apne mobile ke ip address ko change karke kisi perticular country ka address ko apply kar sakte hai. Aisa karne se hoga kya google aapki ip ko note nhi kar payega aur wo sochega ki aap kisi dusri country me baithe huye hai to kya ab aapke liye aasan ho jayega kisi blocked apps ko install kar pana.
Shellfire VPN software mere khayal se sabse achha hai is mamle me to aap isko try kar sakte hai ,aap isko neeche di gayi link par jakar download kar sakte hai.Ya fir directly google play store me bhi jakar download kar sakte hai.Aur sabse badi baat ye bilkul free me available hai.
Ab baat aati hai ki kaise play store ko lock kare password lagakar to aap neeche diye gaye steps ko follow kariye.
Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi shar buttons ka prayog kar sakte hai,aapke 1 minute kafi hai meri site ko share karne ke liye.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.
1. blocked apps ko kaise install kare jo aapki country me available na ho
Bahut se aise applications hai dosto jo kisi particular desh me block kar diye jate ,aisa karne ki bahut si wajah hoti hai to main bo discuss nhi karunga seedhe aapko bataunga ki agar aapke country me koi aapka manpasand apps jaise ek sabka favorite hai google earth jo is time india me available nhi hai usko block kiya hua hai to aap usko install kar payenge to janiye kaise .Aap aisa vpn software ki help se kar sakte hai ,vpn to aap jante hi honge virtual private network .Kisi achhe vpn software ko download karke install kar lo apne phone me .Vpn software me ap asani se apne mobile ke ip address ko change karke kisi perticular country ka address ko apply kar sakte hai. Aisa karne se hoga kya google aapki ip ko note nhi kar payega aur wo sochega ki aap kisi dusri country me baithe huye hai to kya ab aapke liye aasan ho jayega kisi blocked apps ko install kar pana.
Shellfire VPN software mere khayal se sabse achha hai is mamle me to aap isko try kar sakte hai ,aap isko neeche di gayi link par jakar download kar sakte hai.Ya fir directly google play store me bhi jakar download kar sakte hai.Aur sabse badi baat ye bilkul free me available hai.
Download
2 Google Play Store App me parental lock lagaye
Agar aapko darr hai ki koi aapka play store open karke kuchh iliggal activity na kar paye to aapko usme password lagakar rakhna chahiye.Ye jyadatar un logo ke liye faydemand hai jo chahte hai ki unka koi family member ya fir koi bachha play store open karke koi adult apps ya adult content downlaod na kar paye kyonki google play store par aise bahut se adult apps hai jinse aapke bachho ko door rakhna bahut jaruri hai aapke liyeAb baat aati hai ki kaise play store ko lock kare password lagakar to aap neeche diye gaye steps ko follow kariye.
- 1. Sabse pehle google play store kholiye aur menu icon par click kariye
- 2. Ab setting me jayiye
- 3. Setting me aapko option milega Parental Controls(For apps and content on Google Play) ka isko select kariye
- 4. Aur isko enable kar dijiye koi pin code dalkar
- 5. Iske baad apna restriction set kar do ki kisme aap lock lagana chahte hai to Select the Movies and Games and set the restrictions.
- 6. Ab jab aap puri tarah se restriction laga denge to jab bhi koi adult content ya jo aapne restrict kiye hai wo open karne ki kosis karne karega to usko ek pin code dalna hoga jo sirf aapke paas hai iss tarah aap apne family member ko safe kar sakte hai.
3 Sabhi Installed or Uninstalled Android Apps ko find kaise kare Google Play Store me
Neeche diye gaye step ko follow kariye aur aapko pata chal jayega ki aapke phone me pehle se hi kaun kaun se apps installed hai aur aapne kaun kaun se uninstall kar diye hai wo sab aapke play store me show hone lagenge.- 1. play store open karna aur sahi se load ho jane dena .
- 2. iske baad menu icon par click karna aur My Apps and Games ko select karna.
- 3. My Apps and Games me sabhi section ko select kar dena ,isse sabhi apps show hone lagenge aapke mobile screen par.
- 4. Aap apne computer se bhi install and unistall app dekh sakte hai iske liye is link https://play.google.com/apps par jayiye aur apna device select kariye bas .
4 Device Manager ki help se lost phone ko find kaise kare
Agar galti se aapka phone chori ho gaya ya fir kanhi par gir gaya to aapko usko find out kar sakte hai isi google play store ki trick se ,aap apne khoye huye smartphone ka pata laga sakte hai ,simply kya kariye is link par jayiye https://www.google.com/android/devicemanager?hl=en&u=0 aur wahi email id aur password dalkar login karna jo aapke android phone me dali thi.Aap jab ek baar isme enter hi jaoge to isme bahut se aise amazing feature hai jinki help se aap apne gum huye phone ka asani se monitor kar payenge.5 Auto Update ko disable kare Google Play Store App me
Automatically kya hai ki Aapke Android Phone Me Pehle Se Hi Ye Feature Bydefault kar diya jate hai ,jisse aapke device me install apps ka agar koi update aata hai to bo apne aap downlaod ho jayega aur install bhi ho jayega aur aapko koi notification bhi nhi milega.To aise me agar aap mobile connection use kar rahe hai to aapka kafi sara data isi update karne ke chakkar me chala jata hoga To aap simply kya kariye isko disable kar kar dijiye ab karna kaise hai uske liye neeche ke step dekhiye.- 1. Store ko open karna aur menu button par click karna
- 2. Iske baad setting me jana.
- 3. Setting me aap dekhenge ek option hoga Auto-Update Apps ka is par click karna aur Do not auto-update apps par click kar dena
6 Android Apps ko Computer se kaise download kare aur install kare.
Kya aap jante hai ki aap apne computer se bhi google play store ko access kar sakte hai wo bhi bilkul asani se .Aap neeche diye steps ko dekhiye aur janiye aisa kaise kar sakte hai.- 1. Sabse pehle apko mobile ko apne computer se conect karna hoga usb cable ki help lekar ,aur ye insure kar lena ki device aapka sahi se connect ho chuka hai aapke computer se ki nhi.
- 2. Iske baad computer ke web browser par jakar google play store ki official website open karna.
- 3. Iske baad koi apna manpassand app select karna jo aap downlaod karna chahte hai.
- 4. Ab simply install button par click karna aur apni device ko select kar dena ,isse wo application
7 Update All Android Apps ek hi baar me
Ye lagbhag sabhi log karna chahte honge khud mere sath aisa ho chuka hai ,jab main is field me naya naya tha to mujhe itni knowledge nhi thi to maine ek din net par padha aur fir baise hi kiya ,Hum logo ko kabhi kabhi koi free ka wifi mil jata hai to hum log yahi sochte hai ki jaldi se sabhi apps ko update kar lu lekin hota kya hai ye aap nhi jante hote hai ki ek sath kaise sabhi out dated apps ko update kare .Baise ye koi badi baat nhi hai google play ne is feature ko pehle se hi de rakha hai .Ap neeche ke step padhiye aap samjh jayenge.- Sabse pehe play store open karna ,iske baad left side ki taraf swipe kariye matlab left ki side apni fingre ghumayiye
- Iske baad my apps ko select kariye
- Ab kya yanha par option hoga update all ka is par click kar dijiye.
8 Find New Android Apps and Games for Your Android Mobile
Agar aap janna chahte hai ki kaun kaun se applications ya games google play store par new aaye huye hai to aap is software ko download kar lijiye aur isko apne phone me install kar lijiye.Is software ka naam hai Playboard android app,aap isko neeche di gayi link se download kar sakte hai.Download
Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi shar buttons ka prayog kar sakte hai,aapke 1 minute kafi hai meri site ko share karne ke liye.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.