Apne Android Phone Ko Kanhi Se Bhi Pura Control Kaise Kare AirDroid App Ki Help Se


Welcome back dosto ,Aaj main fir se aapke liye ek aisi trick lekar aaya hoon jo aapko bahut  hi pasand aane bali hai ,aur is trick ko main pichhle 5 months se use kar raha hoon to socha kyon na ise apne dear website readers ke sath share kiya jaye.Is post me aapko koi bhi app buy nhi karna padega sab kuchh totally free hoga so money ki bhi koi problem nhi hogi.
Basically is post me aap kya seekhenge ye pehle jaan lijiye,Isme main aapko sikhaunga ki aap apne android smartphone ko kanhi par bhi rehkar control kar sakte hai ,
for example:Maan lo aap apne office ya kanhi bahar kuchh kaam se gaye huye hai lekin aap apna mobile apne ghar par hi bhool gaye hai aur aapko apne mobile ki bahut jarurat hai kyonki aapko usme se kisi ka contact no. ya fir image,ya fir video etc nikalna tha.To aise me hum logo ko bahutproblems hoti hai.

Lekin ye problem ab nhi face karni padegi aapko,aap apne mobile ka sara data (images,videos,documents,audio,contact etc everything) ko kisi dusre computer browser ya mobile browser se pa sakte hai ab chahe aapka mobile aapke hath me ho ya nhi.
To aapko bata du is kaam ke liye main ek bahut hi popular android application ka use karenge jo bilkul free hai aur isko use karna bhi bilkul easy hai koi bhi isko use kar sakta hai badi hi asani se.To pehle jante hai airdroid app ke baare me

Airdroid App Kya Hai Kaise Work Karta Hai?

Airdroid app ek bahut hi useful and helpful tool hai jo aapke mobile aur computer ko bina kisi usb cable ke connect kar deta hai .Itna hi nhi agar aap apne mobile ko jo ghar par rakha hai apne office ke computer se connect krna chahte hai to aisa karne ke liye bhi ye app bahut faydemand hai.Ye app ek web server ki tarah function karta hai,jo aapke android device ko kisi dusre network se jude computer ya mobile se connect hone ke liye allow karta hai.

Airdroid app se aap kya kya kar sakte hai neeche dekhiye?
 

  • 1. Aap door baithkar bhi apne phone ka camera start kar sakte hai bina phone ko chhuye
  • 2. Aap apne mobile ka data kanhi door baithkar bhi access kar sakte hai.
  • 3. Aap apne mobile ka data kisi dusre mobile ya computer me bhej sakte hai
Aise bahut se kaam kar sakta hai ye aap jo main ek ek karke nhi bata sakta aap khud dekh lijiyega.

Step By Step Process AirDroid App Ko Use Karne Ke Liye

Maine neeche aapko sabhi steps ek ek karke batane ja raha hoon ,jisse i think aapko kisi bhi paresani ka samna nhi karna padega.

Step:1) Sabse pehle to aapko Airdroid app download karna hoga aur use apne android phone me install karna hoga.Aap ye app google play store se download kar sakte hai ya fir neeche di gayi link se download kar lijiye.

 <<Download AirDroid>>

Step:2) Ab jab airDroid app install ho jaye to usko open karna to aapko neeche diye gaye screenshot ki tarah screen dikhayi degi ,yanha par simply aap "sign in or sign up" bali button par click karna (kyonki aapko pehle is par account banana hoga simple hai aage dekhiye)  
                  

Step:3) Ab aap simply neeche likha hoga "sign up" us par click karna


Step:4) Ab aapke samne ek form khul kar aa jayega usme aap apni email id,password,fir se wahi password,and apna naam daal dena aur "sign up" button par click kar dena


Note: Aapko ye email id aur password yaad rakhna iski aage jarurat padegi

Step:5) ab jaise hi sign up ki button par click karenge to process hone lagegi aur ek screen khul kar aayegi jaise neeche screenshot me dikhaya hai ,yanha simply "Enable" par click karna hoga aapko



Step:6) Ab jaise hi aap enable par click karenge to aapke phone ki setting khul kar aa jayegi jisme aapko Airdroid notification ke aage sahi ka mark karna hoga ,jaise hi mark karenge to ek message aayega simply "okay" kar dena
 

Step:7) Ab bas aapka kaam ho gaya hai aapne successfully airdroid app ko configure kar liya hai ab aap airdroid app ko open kariye to ek screen aa rahi hogi jaisi neeche di gayi hai.
 

 Apne Android Phone Ko Kanhi Se Bhi Pura Control Kaise Kare AirDroid App Ki Help Se


Step:8) Ab maan lo aap apna phone ghar par chhod gaye hai jisme Airdroid install hai aur aap office me baithe hai lekin apko apna phone access karna hai usme se ek contact nikalna hai apne kisi friend ka to simply apne office bale computer me koi bhi web browser open kariye aur aap is link par jayiye http://web.airdroid.com  
 


Step:9) jaise hi aap upar di gyi link par jayenge to aapko sign in karna hoga matlab login karna hoga.Ap usme wahi email id aur password daale jo aapn apne mobile me airdroid install karte time dali thi aur login ho jayiye.
Note: Ye baat dhyan me rakhna ki aapke mobile me jisme airdroid install kiya tha aapne usme  internet on  ho aur wo sahi se chal raha ho ab bo chahe 3G ho ya wifi ya fir normal 2G ho tab bhi kaam ho jayega.


Bas dosto ab aapke samne puri screen khul kar aa jayegi aapke mobile ki aapke office bale computer me aap ab kuchh bhi kar sakte ho apne mobile me door baithe baithe hi usme se koi bhi file nikal sakte ho delete kar sakte ho,whatsapp chala sakte ho kuchh bhi kar sakte ho jo aap apne mobile me kar sakte ho.Ye sab main detail se nhi bata paunga kyonki isme bahut time lagega lekin dosto ye bilkul simple aap khud hi kahenge haa ye to simple hai batane ki jarurat bhi nhi hai.

To dosto batayiyega jarur ki kaisa laga aapko mera ye post ,agar apko pasand aaya ho to isko apne friends ke sath share karna mat bhooliye unhe bhi bataiye is website ke baare me taaki un tak bhi ye knowledge pahuch sake.
Dhanybaad post ko padhne ke liye!