8 Best Steps Computer Se Malware,Keylogger,Trojan,Worm And Virus Remove Karne Ke Liye

{{Smart and Easy Guide To Remove Malwares From Your Computer}}
Ye ek detailed guide hai jo main khaas taur par un logo ke liye write kar raha hoon jinhe tarah tarah ki problems ka samna karna padta hai apne system me.Malware,malicious
softwares aapke computer ko damage karne me koi kasar nhi chhodte hai.Aise bahut se malicious softwares ban chuke hai jo badi hi chalaki se aapke system me enter kar jate hai aur fir tarah tarah ki unusual activity aapke desktop par hone lagti hai.In malwares ka kam hota hai backdoor create karna jisse koi hacker aapke pc tak pahuch bana sake . 

Simply malware ka matlab hota hai malicious program jaise virus,worms and trojans etc ko malware kehte hai.Chalo i think aap in sab ke baare me jante honge to ab hum seedhe baat karte hai in sabko apne computer se kaise hataye aur apne pc ko clean kare.


Main neeche aapko 8 steps provide karaunga jisko aapko bilkul same hi same follow karna hai,baise hum in steps ko ek method ka naam bhi de sakte the lekin maine aisa nhi kiya kyonki main aapko suggest karunga ki aap steps 1 se start karke last ke step 8 tak follow kariye kyonki tarah tarah ke malware ko remove karne ka alag alag funda hota hai to simply step 1 se start kariye aur step 8 tak karte jayiye jaise maine bataya hai neeche isse aapka pc puri tarah se clean ho jyega fir aapko kisi bhi tarah ki virus se darne ki jarurat nhi rahegi.

Note: Start karne se pehle main aapko bata du ki aap apne computer ko internet se connect kar lena tabhi aage ke steps follow karna kyonki kisi kisi step me aapko internet ki jarurat padegi,agar aap apne pc ko puri tarah se neet and clean karna chahte hai to aapko neeche diye softwares ke updated version hi downlaod aur install karne padenge.

STEP 1:
 


1. Sabse pehle apne computer me Malwarebytes Anti-Malware download karke install kariye

2. Install kariye aur update par click kaiye ,update hone ke baad aap complete scan kariye .
 

3. Ab thodi der wait kariye scanning process complete hone dijiye.
 

4. Ab jab scanning puri ho jaye to Antimalware software ki screen par aise bahut se malicious program show hone lagenge jo aapke pc ke liye khatarnaak honge ,simply kya kariye   "Quarantine All" bali button par click kariye and  "Apply Actions" bali button par click karke sabhi malicious program ko remove kar dijiye.
 

5. Ab agar aapke pc me koi khatarnaak malware dala hoga to Antimalware software aapko ek mesage dega ki aapko pc ko restart karna hoga tabhi wo malware remove hoga,simply yes par click kar dena.
 

6. Ab jab computer restart ho jaye to ek baar fir antimalware softare ke jariye computer ko scan karna aur dekhna ab koi malicious program to nhi bacha..
 

Dosto abhi kaam pura nhi hua hai aap ye mat sochiye sirf itna karne se sabhi virus remove ho jayenge,apko aage ke steps bhi follow karne hai jo neeche diye gaye hai,jaisa ki maine aapko bataya tha tarah tarah ke program ko remove karne ke liye alag alag tool hote hai.Aap aage padhiye.

STEP 2:


1. sabse pehle SuperAntiSpyware download karke apne computer me install kariye.
Download and install the SuperAntiSpyware. 


2. Ab "Click here to check for updates" par click kariye aur usko update kariye agar aapko behtar result chahiye to.
 

3. Ab simply scan kariye  "Scan this computer" par click karke.
 

4. Aur haa "Delete windows temp files" ko enable kar dena and then "Complete Scan" par click kar dijiye.
 

5. Ab thoda wait kijiyeaur scanning process complete ho jane dena.
 

6. Ek baar scan complete ho jayegi to SuperAntiSpyware apko wo sare threats detect karke show kar dega jo aapki pc ko problem de rahe hai.
 

7. Simply "continue" button par click kariye fir se continue par click karke sabhi malware ko remove kar dena.
 

Dhyan rahe jaruri nhi hai sabhi virus isse delete ho jaye isiliye aage ke step bhi follow kariye kyonki virus create karne bale ne kaun si algo use ki hui hai ye depend karta hai isiliye hume ye sab step follow karne pad rahe hai.Aage padhiye next step.  

STEP 3:
 


1. sabse pehle apne computer me Download and install Kaspersky TDSSKiller  

2. Ab isko open kariye aur scan karne se pehle aapko kuch parameter change karne honge iske liye "change parameters" par click kariye and enable detect TDLFS file system.Ab iske baad okay ki button press kariye.
 

3. Ab aap "start scan" button par click kariye.
 

4. Scan complete hone ke baad ye aapko sabhi malwares detect karke de dega to simply continue par click kariye aur sabhi ko remove kar dijiye.Ho sakta aapko system reboot karna pade.
 

Keep reading next step..........


 

STEP 4:
 


1. sabse pehle apne computer me Download  RKill.
 

2. Ab isko install kar lena (Double click on the executable file - iExplorer.exe)
 

3. Ye software aapke sare malicious process ko terminate (end or band )  kar dega jo aapke computer ke background me run kar rahe honge. Kyonki malware humesa background me hi run karte hai aur hume pata bhi nhi chal pata hai to ye software un process ko hi khatm kar dega jisse bo background me hi nhi chalenge.
Continue to the next STEP............

STEP 5:
 

1. sabse pehle apne computer me Download  Hitman Pro .exe file
 

2. Iske baad HitmanPro.exe file par double click kariye aur program ko run kariye isse ek window najar aayegi simply next oar click kar dijiye.
 

3. Iske baad "I accept the terms of the license agreement" par tik kar dena and fir se Next button par click kar dena.
 

4. Ab aapko "No, I only want to perform a one-time scan to check this computer"  select karna hoga and fir se Next par click karna hoga.
 

5. Isse ye software aapko malicious program detect karke de dega.Aur simply next par click karke remove kar dijiye sabhi malicious program.
 

Stay and keep reading..........

 

STEP 6:
 
 

1. sabse pehle apne computer me Download AdwCleaner.
 

2. Iske baad  adwcleaner_4.201.exe bali file par double click karke isko install karna hoga simply double click kariye aur Click on "I agree" button.
 

3. Ye automatic kuchh jaruri files download karne ki kosis karega jo aapke computer se virus hatane ke liye faydemand hogi.
 

4. Ab simply "scan" button par click karna.
 

5. Scanning complete hone ke baad jo malicious softwares ya files aa jayngi ..simply "cleaning" par click karke unhe remove kar dena.Pura process finish karne ke liye aapko system ko reboot karna hoga.
 

Restart hone ke baad ab  STEP 7 continue kariye..
 

STEP 7:
 
1. Sabse pehle  RougeKiller download kar lo kisi bhi link par jakr

RoughKiller 32/64 bits (Cloud)  
RougeKiller 32/64 bits (Local)

2. Iske baad aapko roughkiller install karna hoga uske liye setup.exe file par double click karna aur use run karna.
 

3.Click on Next, Next, Next, and Install ki button dba dena isse bo install ho jyega ,ab simply installation finish kar dena.
 

4. Iske baad accept button par click karke scan par click kar dijiye.
 

5. Ye malicious program ko detect karke unhe aapki computer screen par show kar dega,and simply delete button par click karke sabhi ko remove kar dena.
 

Ab last step 8 follow kariye iske baad aapka pc ek dam virus free ho jayega.

 

STEP 8:
 


1. Sabse pehle Download Emsisoft Emergency Kit.
 

2. Ab "EmsisoftEmergencyKit.exe" par double click karke use install karna hoga.
 

3. Simply install karne ke baad click on "Extract" button.
 

4. Jab extract kar lo to apko "Start Extract Emsisoft Emergency Kit" icon par double click karna hoga jo aapke desktop par hoga.
 

5. Agar update ke liye kahe to simply "yes" par click karke upadte ko install kar lena.
 

6. Update install karne ke baad "back" button dabana aur "scan" button par click karna aur "smart scan" ko choose karna
 

7. Ab jab scan complete ho jaye to sabhi malicious program ko remove kar dena "Quaratine" par click karke.
Note: Agar point 6 me smart scan kaam na kare to aap full scan par choose karna ,ye thoda slow scan karega pc ko.

Over To You:

Dosto Ab aapki baari hai ,batayiye mujhe ki kaisa laga aapko ye post kyonki aapke feedback ke bina mera likhna bekar hai,I think aapne succesfully aapne pc se virus ko hata diya hoga ,kyonki malware ko remove karna bahut hi jaruri hota hai agar aapke computer me kuchh persional dala hua hai .Main suggest karunga ki upar diye gay sabhi softwares ko apne pc me humesa install karke rakhna taaki jarurat padne par aap malwares ko inke through removed kar sako. 

Agar aapko ye post pasand aaya ho to ise share karna na bhooliye aur mera support kijiye taaki main aapko aur bhi achhe tarike or method provide kara saku.
{{Smart and Easy Guide To Remove Malwares From Your Computer}}